Aayat Baad Mein Naazil Huyi

Nabiye Kareem ﷺ Ne Rom Ke Baadshah Hirqil (Hirqil/Hiraql) Ki Taraf Ek Maktoob Rawana Farmaya
Us Maktoob Mein Huzoor ﷺ Ne Ye Aayat -e- Mubaraka Likhwayi :

قُلۡ یٰۤاَہۡلَ الۡکِتٰبِ تَعَالَوۡا اِلٰی کَلِمَۃٍ سَوَآءٍۢ بَیۡنَنَا وَ بَیۡنَکُمۡ اَلَّا نَعۡبُدَ اِلَّا اللّٰہَ وَ لَا نُشۡرِکَ بِہٖ شَیۡئًا وَّ لَا یَتَّخِذَ بَعۡضُنَا بَعۡضًا اَرۡبَابًا مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ ؕ فَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَقُوۡلُوا اشۡہَدُوۡا بِاَنَّا مُسۡلِمُوۡنَ o
(آل عمران:64)

Tajjub Ki Baat Ye Hai Ke Mazkoora Aayat Us Waqt Naazil Hi Nahin Huyi Thi! 
Ye Aayat Us Maktoob Ke Bhejne Ke Teen Saal Baad Naazil Huyi Hai

Is Silsile Mein Allama Ibne Hajar Asqalani Alaihi Rahma Likhte Hain Ke Nabiye Kareem ﷺ Ne Is Aayat Ke Nuzool Se Pehle Hi Is Ko Likh Diya Tha Aur Baad Mein Jab Ye Aayat Naazil Huyi To Aap ﷺ Ke Likhe Huye Ke Mawafiq Thi Aur Ye Bhi Ho Sakta Hai Ke Ye Aayat Dobara Naazil Huyi Ho Lekin Ye Bayeed Hai

(فتح الباری، ج1، ص517 بہ حوالہ نعم الباری فی شرح صحیح البخاری)

Hazrat Allama Ghulam Rasool Sayeedi Alaihi Rahma Likhte Hain Ke Main Kehta Hoon Ke Is Mein Ibne Arabi Ke Is Qaul Ki Tayeed Hai Ke Quraan -e- Majeed Ke Mukammal Nuzool Se Pehle Aap ﷺ Ko Is Ka Ijmali Ilm Tha

(نعم الباری فی شرح صحیح البخاری، کتاب الوحی، ج1، ص161)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post