Ek Martaba Nabiye Kareem ﷺ Darazgosh Par Sawar Ho Kar Hazrate Saad Bin Ubada Ki Iyadat Ke Liye Tashreef Le Gaye
(بخاری، باب عیادۃ المریض راکبا و....، ر5663، ملتقطاً)
Is Hadees Ki Sharah Karte Huye Allama Ghulam Rasool Sayeedi Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Is Hadees Mein Mazkoor Hai Ke Nabiye Kareem ﷺ Gadhe Par Sawaar Ho Kar Hazrate Saad Bin Ubada Ki Iyadat Ke Liye Tashreef Le Gaye, Is Liye Gadhe Par Sawaar Hone Ko Haqeer Nahin Samajhna Chahiye
Mulla Ali Qaari Hanafi Alaihi Rahma Ne (To Yahan Tak) Likha Hai Ke Jo Shakhs Gadhe Par Sawari Ko Kamtar Aur Haqeer Jaanta Hai Wo Khud Gadhe Se Bhi Zyada Kamtar Aur Haqeer Hai Aur Is Hadees Se Ye Bhi Maloom Hua Ke Gadhe Par Sawaar Hona Sunnat Hai, Gaaon Aur Dehaat Mein Gadhe Par Sawari Ke Mawaqe Hain
(انظر: نعم الباری فی شرح صحیح البخاری، ج11، ص923)
Subhan Allah! Jis Cheez Ko Huzoor ﷺ Se Nisbat Ho Jaaye Wo Bhi Muazzam Ho Jaati Hai
Huzoor Se Muhabbat Karne Waale Un Tamam Cheezo Se Muhabbat Karte Hain Jis Ki Nisbat Huzoor Se Ho
Ye Kaisa Aqeeda Hai Ke Huzoor Ke Ilm Ko Janwaro Aur Pagalo Se Tashbeeh Di Jaaye Aur Phir Iman Ka Aur Ishq -e- Rasool Ka Daawa Kiya Jaaye?
Ishq To Ye Kehta Hai Ke Jis Gadhe Par Nabiyo Ke Imam Ne Sawari Farmayi Hai Ab Us Sawari Ko Haqeer Samajhne Waala Khud Gadhe Se Zyada Kamtar Hai
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here