Allah Ta'ala Farmata Hai :
مَنۡ تَابَ وَ اٰمَنَ وَ عَمِلَ عَمَلًا صَالِحًا فَاُولٰٓئِکَ یُبَدِّلُ اللّٰہُ سَیِّاٰتِہِمۡ حَسَنٰتٍ ؕ وَ کَانَ اللّٰہُ غَفُوۡرًا رَّحِیۡمًا o
(الفرقان:70)
Yaani Jis Ne Tauba Kar Li Aur Iman Le Aaya Aur Nek Amal Kiye To Ye Wo Log Hain Jin Ke Gunaho Ko Allah Nekiyo Se Badal Dega Aur Allah Bahut Bakhshne Waala Be Had Raham Farmane Waala Hai
Imam Abu Mansoor Matureedi (Mutawaffa 333 Hijri) Is Aayat Ki Tafseer Mein Likhte Hain :
Gunaho Ko Nekiyo Se Badalne Ke Do Maana Hain,
Ek Ye Ke Gunaah Karne Waale Jab Apne Gunaho Se Tauba Kar Lete Hain Aur In Gunaho Par Nadim Hote Hain To Allah Ta'ala In Ko Aayinda Ki Zindagi Mein Ye Toufique Ata Farmata Hai Ke Wo Har Guzishta Gunah Ki Jagah Ek Neki Kar Lete Hain Aur Yun (Is Toufique Ke Sabab) In Ka Har Ek Gunah Neki Mein Tabdeel Ho Jaata Hai,
Aur Dusra Maana Ye Hai Ke Dunya Mein Logon Ko Agar Apne Gunaho Par Nadamat Aur Hasrat Paida Ho Jaaye To Allah Ta'ala Aakhirat Mein Un Gunaho Ko Nekiyo Mein Tabdeel Farma Dega
(تاویلات اھل السنة، ج8، ص45 بہ حوالہ نعم الباری فی شرح صحیح البخاری، ج8، ص410)
Humare Gunaho Ki Tadaad Ba Zaahir Nekiyo Se Kayi Guna Zyada Hain!
Humein Apne Gunaho Par Nadim Hona Chahiye Aur Humesha Gunaho Se Bachne Ki Koshish Karte Rehni Chahiye Taaki Allah Ta'ala Humare Gunaho Ko Nekiyo Se Badal De,
Beshak Allah Ta'ala Ki Rahmat Ke Aage Ye Ek Chhoti Si Cheez Hai
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here