Aurato Ke Masjid Jaane Ke Mutalliq Ummul Momineen, Syeda Ayesha Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Farmati Hain Ke Agar Rasoolullah ﷺ Aurato Ke Is Banaao Singhar Ko Dekh Lete Jo Inhone Ab Ijaad Kiya Hai To In Ko (Masjid) Mein Aane Se Mana Farma Dete Jis Tarah Bani Israyeel Ki Aurato Ko Mana Kiya Gaya Tha
(بخاری شریف، ج1، ص472، ر869)
Allama Badruddin Ayeni Hanafi (Mutawaffa 855 Hijri) Likhte Hain Ke Agar Hazrate Ayesha Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Aurato Ke Is Banaao Singhar Ko Dekh Leti Jo Inhone Humare Zamane Mein Ijaad Kar Liya Hai Aur Apni Numaish Mein Ghair Sharayi Tariqe Aur Mazmoom Bidd'aat Nikaal Li Hain, Khaas Taur Par Shahar Ki Aurato Ne To Wo (Hazrate Ayesha Siddiqa) In Aurato Ki Bahut Zyada Mazammat Karti
(عمدۃ القاری، ج6، ص227)
Allama Ghulam Rasool Sayeedi Alaihi Rahma Likhte Hain Ke Agar Allama Ayeni Humare Zamane Ki Fashion Zada Aurato Ko Dekh Lete To Hairan Reh Jaate
Ab Aksar Aurato Ne Burqa Lena Chhod Diya Hai, Sar Ko Dupatte Se Nahin Dhanpti, Tang Aur Chust Libaas Pahanti Hain, Beauty Parlour Mein Ja Kar Jadeed Tariqo Se Make Up Karaati Hain, Mardo Ke Saath Makhloot (Mix) Ijtema'at Mein Shirkat Karti Hain, Marathon Daud Mein Hissa Leti Hain, Basant Mein Patang Udati Hain, Valentines Day Manati Hain, Is Qism Ki Azaad Rawish Mein Aurato Ke Masjid Mein Jaane Ka To Khair Koi Imkaan Hi Nahin
(نعم الباری فی شرح صحیح البخاری، ج2، ص798)
Main (Abde Mustafa) Kehta Hoon Ke Ab To Halaat Yahan Tak Pahunch Chuke Hain Ke Baaz Awqaat Ye Faisla Karna Mushkil Ho Jaata Hai Ke Samne Koi Janab Hain Ya Muhtarma!
Aisa Fashion Nikla Hai Ke Mard Aur Aurat Mein Tameez Karna Dushwar Ho Gaya Hai
Ek Fikr Logon Ke Zahano Mein Daali Ja Rahi Hai Ke "Auratein Mardo Se Kam Nahin Hain" Aur Isi Muqable Ke Chakkar Mein Aurato Ne Sharmo Haya Naam Ki Cheez Ko Apni Lughat (Dictionary) Se Mita (Delete Kar) Diya Hai!
Ab To Aisa Lagta Hai Ke In Ke Liye Sirf Dua Hi Ki Ja Sakti Hai
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here