Ishq Karna Aur Ishq Hona

Ek Hota Hai Ittefaqan Kisi Par Pehli Nazar Padte Hi Usse Pyaar Ho Jaana Aur Ek Hota Hai Ke Hum Pehle Se Ye Soch Kar Niklein Ke Humein Kisi Par Apni Nazar Ko Atkana Hai Aur Kisi Se Pyaar Karna Hi Hai
In Dono Mein Bahut Farq Hai
Aaj Kal Jo Ishq -e- Mijazi Ka Bazaar Garam Hai Wo Isi Dusri Qism Ka Hai Ke Humein Ek Mehbooba Ya Ek Aashique Ki Talash Hai

Jis Tarah Insan Ki Zindagi Mein Deegar Kayi Maqasid Hote Hain Ke Daulat Kamani Hai, Shohrat Haasil Karni Hai, Doctor, Engineer Banna Hai Theek Isi Tarah Kayi Logon Ne Ise Bhi Zindagi Ka Ek Maqsad Bana Liya Hai Ke Humein Ek Mehboob Talash Karna Hai Phir Use Apne Dil Ki Baat Batani Hai, Usse Baatein Karni Hain, Mulaqat Ke Liye Tadapna Hai Aur Deegar Mamlaat Karne Hain Jo Ishq -e- Mijazi Mein Bunyadi Ahmiyat Rakhte Hain

Aisi Fikr Logon Ke Andar Paida Karne Mein Filmo, Dramo Aur Behuda Gaano Ka Bahut Bada Haath Hai, Yahi Wo Cheezein Hain Jinhone Logon Ka Bil Khusoos Naujawano Ka Dimagh Bhrasht Kar Rakha Hai
Abhi To Haal Ye Hai Ke Jis Ne Jawani Ki Dehleez Par Qadam Bhi Nahin Rakha Wo Bhi Ishq -e- Mijazi Mein Dhoka Kha Kar Baitha Hai

Agar Aap Chahte Hain Ke Aapki Awlaad Is Bala Se Mahfooz Rahe To Un Par Dhyaan Dein
Sirf Ye Dekhna Kaafi Nahin Ke Usne Khana Khaya Ya Nahin, School Gaya Ya Nahin, Nahaya Ya Nahin Balki Ye Dekhein Ke Wo Kis Raaste Par Hai
Kahin Aisa Na Ho Ke Jal Jaaye Baagh -e- Armaa Aur Kaano Ko Khabar Tak Na Ho! 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post