Jahil Huffaz Ki Manghadat Riwayat

Baaz Jahil Huffaz Bachhe Ko Padhate Kam Aur Maarte Zyada Hain Aur Jab Unhein Mana Kiya Jaaye To Ek Riwayat Bayaan Karte Hain Ke Ustaad Ki Maar Se Dozakh Ki Aag Haraam Ho Jaati Hai Aur Jis Jagah Ustad Ki Maar Padegi Us Jagah Dozakh Ki Aag Nahin Jalayegi....., 
Ustad Sahab Ek To Maar Bhi Rahe Hain Aur Upar Se Is Ki Hikmat Bhi Bayaan Farma Rahe Hain! Waah Ustad Sahab! 

Shaykhul Hadees, Hazrat Allama Ghulam Rasool Sayeedi Alaihi Rahma Likhte Hain Ke Baaz Jahil Huffaz Aur Qurra Ne Ye Hadees Ghadi Hai Ke Ustaad Ki Maar Se...... Alakh
Ye Hadees Jhooti Aur Manghadat Hai Aur Nabi Par Jhoot Bandhna Gunah -e- Kabeera Hai 
In Jhooto Se Puchha Jaaye Ke Ye Riwayat Hadees Ki Kis Kitab Mein Mazkoor Hai? 

(انظر: نعم الباری فی شرح صحیح البخاری، ج10، ص257)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post