Kya Aap Kitabein Padhte Hain?

Imam Zahbi "Tazkiratul Huffaz" Mein Khateeb -e- Baghdadi Ke Mutalliq Likhte Hain Ke Wo Raaste Mein Chalte Huye Bhi (Kitabo Ka) Mutala Karte The Taaki (Kahin) Aane Jaane Ka Waqt Zaaya Na Ho! 

(تذکرۃ الحفاظ، ج3، ص114 بہ حوالہ علم و علما کی اہمیت، ص23، ط مکتبہ اہل سنت)

Aaj Hum Raaste Mein Chalte Huye Padhna To Bahut Door, Ghar Mein Khaali Baithe Ho Tab Bhi Kitabein Padhna Pasand Nahin Karte
Humare Naujawano Ke Baare Mein To Puchhiye Hi Mat, Inhein Gaana Sunne, Mobile Phone Par Game Khelne, Fuzool Ki Chatting Karne Aur Filmein Waghaira Dekhne Se Hi Fursat Nahin Hai Aur Agar Kabhi Kabhar Thoda Bahut Waqt Khaali Mil Bhi Jaaye To Pareshan Ho Jaate Hain Ke Ab Ise Kahan Barbaad Kiya Jaaye?

Hum Ye Nahin Kehte Ke Aap Raaste Mein Chalte Huye Kitabo Ka Mutala Karein Lekin Kabhi To Mutala Karein
Apni Daud Bhaag Ki Zindagi Mein Se Kuchh Waqt Kitabo Ke Liye Bhi Nikalein, Yaqeenan Ye Aapke Liye Mufeed Saabit Hoga

Jaate Jaate Ek Baat Aur :
Mumkin Hai Ye Padh Kar Kisi Ko Hairani Huyi Ho Ke Koi Raaste Mein Chalte Huye Bhi Mutala Kiya Karta Tha Lihaza Hum Us Hairangi Mein Mazeed Izafa Karne Ke Liye Ek Aur Waqiya Bayaan Karte Hain, Mulahiza Farmayein :

Hazrate Sa'alab Nahwi Alaihi Rahma Ki Wafat Ka Sabab Ye Hua Ke Aap Asar Ke Baad Kahin Nikle Aur Haath Mein Ek Kitab Thi Jise Aap Chalte Huye Padh Rahe The, Ek Ghoda Aapse Takra Gaya Aur Aap Zameen Par Gir Pade! Sar Mein Kaafi Chot Aayi
Unhein Ghar Le Jaaya Gaya Aur Dusre Din Unka Inteqal Ho Gaya 

(خطبات ترابی، ج1، ص74)

Allah Ta'ala Ki Un Par Rahmat Ho Aur Unke Sadqe Humari Maghfirat Ho Aur Mutaale Ki Toufique Bhi Ata Ho

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post