Mukhtasar Tazkira -e- Waqar -e- Millat

Jaame Maqoolat Wa Manqoolat, Peer -e- Tareeqat, Muftiye Aazam -e- Pakistan, Hazrat Allama Mufti Muhammad Waqaruddin Qadri Razvi Alaihi Rahma Apne Zamane Ke Mash'hoor Aalim -e- Deen The 
Aap Ki Shakhsiyat Ahle Sunnat Ke Aasman Par Ek Chamakta Sitara Hai Jis Ki Raushni Humesha Bar Qaraar Rehne Waali Hai 

14 Safarul Muzaffar 1333 Hijri Ko Pilibhit (Hindustan) Mein Aap Ki Paidayish Huyi 
Aapke Walid Ka Naam Hafiz Hameeduddin Aur Walida Ka Imtiyazun Nisa Tha, Aap Ke Walid, Chacha Aur Khandan Ke Kayi Afraad Hafiz -e- Quraan The, Is Se Maloom Hota Hai Ke Aap Ka Gharana Islami Mahaul Ke Rang Se Ranga Hua Tha 

Ibtedayi Taleem :
School Mein Panchwi (5th) Class Tak Taleem Haasil Ki Aur Jab Panchwi Class Ka Imtehan Hua To Poore Zila Bhar Mein Aap Ko Pehla Darja (First Position) Haasil Hua Aur Inam Bhi Mila
Uske Baad Aapke Israr Par Aap Ko Pilibhit Ke Ek Madrase Mein Dakhil Karwaya Gaya 
Us Madrase Mein Aap Ke Asatiza Mein Hazrat Mufti Wasi Ahmad Muhaddise Surati Ke Khaas Shagird Maulana Habeebur Rahman Bhi The
Chaar Saal Us Madrase Mein Taleem Haasil Ki Aur Phir Bareli Shareef Ke "Darul Uloom Manzarul Islam" Mein Dakhila Liya

Bareli Shareef Mein Aap Ne Sadarushshariah, Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazmi, Muhaddise Aazam Pakistan, Hazrat Allama Sardar Ahmad Qadri, Allama Taqaddus Ali Khan, Maulana Sardar Ali Khan Aur Maulana Ehsan Ilahi Waghaira Ko Apne Asatiza Ke Roop Mein Paaya

Bai'at Wa Khilafat :
Aap Ko Hujjatul Islam, Hazrat Allama Hamid Raza Khan Barelvi Ke Dast Par Bai'at Hone Ka Sharf Haasil Hua Aur Unke Chhote Bhai Muftiye Aazam -e- Hind Se Khilafat Bhi Haasil Huyi

Ilmi Maqaam :
Aap Ke Ilmi Maqaam Ka Andaza Is Baat Se Lagaya Ja Sakta Hai Ke Ek Gaaon Ke Kuchh Logon Ne Muftiye Aazam -e- Hind Se Kaha Ke Ghair Muqallideen Ne Humein Pareshan Kar Rakha Hai Lihaza Aap Kisi Aalim Ko (Munazre Ke Liye) Bhej Dijiye, Muftiye Aazam -e- Hind Ki Nigahon Mein Jo Naam Aaya Wo Waqar -e- Millat Alaihi Rahma Ka Tha, Aap Munazre Ke Liye Tashreef Le Gaye Aur Allah Ta'ala Ne Aap Ko Fatah Ata Farmayi

Aapke Mutale Ka Ye Aalam Tha Ke Poori Poori Raat Mutale Mein Guzaar Dete The! 

1947 Mein Aap Ne Pakistan Ka Rukh Kar Liya Aur Phir Wahin Darso Tadrees Mein Mashgool Ho Gaye 
Rozgaar Ke Silsile Mein Aap Tijarat Karte The
Aap Ne Apne Zamane Mein Uthne Waale Fitno Ka Bharpur Radd Kiya Jis Mein Ek Dr. Tahir Ka Fitna Bhi Hai

Wisaal :
Hadees Ki Taleem Dete Huye 16 Rabiul Awwal 1410 Mein Aap Ka Inteqal Hua

(ماخوذ من وقار الفتاوی)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post