Chhati Sadi (6th Century) Ke Mash'hoor Hambali Aalim, Allama Ibne Aqeel Hambali Mutaale Ka Aisa Shauq Rakhte The Ke Khana Khane Mein Bhi Koshish Farmate Ke Kam Se Kam Waqt Lage!
Aap Aksar Roti Khaane Se Parhez Karte Aur Waqt Bachane Ke Liye Choore Ko Paani Mein Bhigo Kar Istemal Karte, Farmate Ke Roti Chabane Aur Khane Mein Kaafi Waqt Lag Jaata Hai Jabki Is (Choore) Ke Istemal Se Waqt Zyada Nikal Aata Hai
(ملخصاً: طبقات حنابلہ بہ حوالہ علم و علما کی اہمیت، ص24، 27، ط مکتبہ اہل سنت)
Ilme Nahaw Ke Imam, Khaleel Bin Ahmad Farmate The Ke Wo Saa'atein (Ghadiya) Mujh Par Bahut Giraa Guzarti Hain Jin Mein Main Khana Khata Hoon
(ایضاً، ص23)
Muhaddis -e- Kabeer Hazrate Ubaid Bin Yaeesh Alaihi Rahma Farmate Hain Ke Maine Tees Saal Se Raat Ka Khana Nahin Khaya, Meri Bahan Mere Moonh Mein Luqma Daalti Aur Main Hadees Padhta Aur Likhta
(خطبات ترابی، ج4، ص250)
Hazrate Ahmad Bin Yahya Shaybani Alaihi Rahma Ko Jab Koi Dawat Deta To Is Shart Par Qabool Farmate Ke Unke Liye Koi Aisi Cheez Muhaiyya Ki Jaaye Jis Par Mujallad Kitabein Rakh Kar Padh Sakein
(ایضاً، ص249)
Allahu Akbar! Ye Wo Hastiya Thi Jinhein Waqt Ki Ahmiyat Maloom Thi Aur Mutaale Se Ghair Mamooli Muhabbat Thi
Daur -e- Haazir Mein Door Door Tak Is Ki Misaal Nahin Milti
Aaj Agar Hum Dekhein To Kuchh Log Sirf Neend Ko Bulane Ke Liye Mutaala Karte Hain Aur Dusri Taraf Jab Baat Film, Naatak Waghaira Dekhne Ki Aa Jaaye To Aadhi Raat Tak Ullu Ki Tarah Aankhein Khuli Ki Khuli Rehti Hain
Maaf Kijiyega, Ahqar Ka Maqsad Kisi Ko Neecha Dikhana Ya Kisi Ka Mazaaq Udana Harghiz Nahin, Main To Faqat Ek Haqeeqat Ko Bayaan Kar Raha Hoon Jis Ke Numoone Humein Apne Ird Gird Aksar Dekhne Ko Milte Hain
Allah Ta'ala Humein Waqt Ki Ahmiyat Se Waqifiyat Ata Farmaye Aur Ilmo Amal Se Sachhi Muhabbat Ata Farmaye
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here