Ek Martaba Hazrate Sayyiduna Ibne Umar Radiallaho Ta'ala Anhuma Masjid Mein Tashreef Laaye To Dekha Ke Wahan Ek Qissa Go Baith Kar Qisse Suna Raha Hai
Aapne Ek Sipahi Ko Uski Taraf Mutawajjeh Kiya Ke Wo Ise Masjid Se Baahar Nikal De, Chunanche Us Sipahi Ne Ise Masjid Se Baahar Nikal Diya
Agar Qissa Goyi Ka Talluq Zikr Ki Majalis Se Hota Aur Qissa Go Ko Ulama Mein Shumar Kiya Jaata To Hazrate Sayyiduna Ibne Umar Kabhi Bhi Use Masjid Se Baahar Na Nikalte
(ملخصاً: المدخل لابن الحاج، ج1، ص333 بہ حوالہ قوت القلوب، ج1، ص708، ط مکتبة المدینہ کراچی)
Hazrate Sayyiduna Maula Ali Radiallaho Ta'ala Anho Ke Baare Mein Bhi Manqool Hai Ke Jab Aap Basra Tashreef Laaye To Qissa Go Muqarrireen Ko Masjid Se Baahar Nikala
(ایضاً)
Shah Waliullah Muhaddise Dehelvi Rahimahullah Likhte Hain Ke Sahaba -e- Kiraam Ne Qissa Khwano Ko Masajid Se Nikala Hai Aur Maara Bhi Hai
(القول الجمیل؛بہ حوالہ فتاوی اجملیہ، ج4، ص101)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here