Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ne Ek Tond Waale (Yaani Pet Baahar Nikle Huye) Shakhs Ko Dekha To Puchha :
ما ھذا؟
"Ye Kya Hai?"
Us Ne Kaha Ke "Ye Allah Ki Taraf Se Barkat Hai"
Aap Ne Farmaya : Ye Barkat Nahin Balki Allah Ki Taraf Se Azaab Hai
(مناقب امیر المومنین عمر بن الخطاب، ص194)
Hazrate Faruque -e- Aazam Farmate Hain :
Aye Logo! Apne Aap Ko Tond Waala Hone Se Bachao Yaani Khane Peene Ke Sabab Apna Pet Bada Hone Se Bachao Kyunki Motapa Tumhare Wujood Ko Kharaab Karne Waala, Buzdili Ko Paida Karne Waala, Namaz Mein Susti Dilane Waala Hai Aur Tum Par Zaroori Hai Ke Khane Peene Mein Ihtiyat Se Kaam Lo Kyunki Khane Peene Mein Miyana Rawi Jism Ko Durust Rakhti Hai, Israaf Se Bachati Hai
(انظر: فیضان فاروق اعظم، ج2، ص382)
Agar Aap Tond Waala Nahin Banna Chahte To Apne Khaan Paan Par Tawajjoh Dein
Zyada Khana Aur Zyada Aaram, Dono Se Bachein Aur Apne Aap Ko "Fit" Rakhein
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here