Khawateen Aur Deen Ke Liye Qurbaaniya
Hazrate Sumaiyya Radiallahu Ta'ala Anha
Hazrate Ammar Bin Yaasir Ki Waalida Hazrate Sumaiyya Makka Mein Mughira Qabile Ki Ek Kaniz Thi. Islam Qubool Karne Mein In Ka Saatwa Number Hai. Ye Wo Waqt Tha Jab Islam Qubool Karna Goya Har Qism Ke Jooro Sitam Ko Daawat Dena Tha Aur Ye To Waise Bhi Ek Kaniz Thi.
Jaise Hi Inhone Islam Qubool Kiya In Par Zulmo Sitam Ka Ek Tufaan Umad Pada. Kufro Shirk Par Majboor Karne Ke Liye Un Ke Qabile Aur Quraish Ne Har Tareeqe Azmaaye.
Har Koshish Kar Ke Dekhi Magar Nakaam Rahe.
Sumaiyya Sanafe Naazuk Thi, Assi Saala Zayifa Hone Ke Bawajood Ghar Ghar Ja Kar Deen Ke Kaamo Ko Aam Karti, Log Inka Mazak Udaya Karte Aur Kuffare Makka In Par Zulm Kiya Karte Yahan Tak Ke Lohe Ki Zirah Pahna Kar Dhoop Mein Khada Kar Dete The Lekin In Ke Azmo Istiqlaal Mein Koi Farq Na Aaya. Iman Qubool Karne Ke Baad Na Kabhi Buto Ka Khayal Aaya Aur Na Hi Inhone Duniya Ke Aqaao Ki Parwah Ki.
Ek Roz Din Bhar Ki Aziyyat Ke Baad Sham Ko Ghar Aayi To Abu Jahal Mil Gaya, Us Ne Gaaliya Dena Shuru Kar Di Aur Kalima Na Padhne Ki Taaqed Ki To Hazrate Sumaiyya Ne Seena Taan Kar Kalima Padhna Shuru Kar Diya Aur Ghusse Mein Aakar Abu Jahal Ne Aapki Naaf Ke Niche Is Zor Se Neza Maara Ke Aap Shaheed Ho Gayi Magar Qayamat Tak Ke Liye Aurato Ka Sar Fakhr Se Buland Kar Gayi.
Ye Ek JanBaaz Aurat Ka Pehla Khoon Tha Jis Se Khuda Ki Zamin Rangin Ho Gayi.
(دیکھیں الاستيعاب، الاصابہ اور جنتی زیور وغیرہ)
Humare Aslaaf Ki Poori Zindagiya Qurbaaniyo Ka Murakkab Hain Jab Bhi Deen Ke Naam Par Pyaari Se Pyaari Cheez Ko Qurbaan Karne Ka Mauqa Aaya Wo Is Mein Qata'an Hichkichaahat Mahsoos Na Farmate Qurbani Ke Baad Bhi Un Ki Zuban Par Shikayat Nahi Balki Alfaaze Shukr Hi Jaari Hua Karte The.
Irshade Bari Ta'ala Hai:
اَمۡ حَسِبۡتُمۡ اَنۡ تَدۡخُلُوا الۡجَنَّۃَ وَ لَمَّا یَاۡتِکُمۡ مَّثَلُ الَّذِیۡنَ خَلَوۡا مِنۡ قَبۡلِکُمۡ ؕ
Kya Tum Is Guman Mein Ho Ke Jannat Mein Yun Hi Chale Jaoge Aur Abhi Tum Par Aglo Ki Si Roodaad (Yani Haalat) Nahi Aayi.
Deen Ke Kaamo Mein Humein Jab Bhi Dushwariyo Ka Samna Karna Pade Khud Ko Taiyaar Rakhna Chahiye Aur Ma'az Allah Bojh Aur Musibat Tasawwur Nahi Karna Chahiye
Jo Taklifein Hum Se Pichhlo Par Guzri Uski Ba Nisbat Ye Kuch Nahi Aur Is Ke Badle Haasil Hone Waale Fayde Be Shumar Allaag Ne Bayan Farmaye.
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اِنْ تَنْصُرُوا اللّٰهَ یَنْصُرْكُمْ وَ یُثَبِّتْ اَقْدَامَكُمْ
Aye Iman Walo! Agar Tum Allaah Ke Deen Ki Madad Karoge To Allah Tumhari Madad Karega Aur Tumheib Sabit Qadami Ata Farmayega.
(محمد:7)
Janabe Ghazal
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here