Kunwara Yaani Miskeen
Aaqa Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ke :
مِسْكِينٌ مِسْكِينٌ رَجُلٌ لَيْسَتْ لَهُ امْرَأَةٌ"، قِيلَ: "يَا رَسُولَ اللهِ! وَإِنْ كَانَ غَنِيًّا ذَا مَالٍ؟" قَالَ: "وَإِنْ كَانَ غَنِيًّا مِنَ الْمَالِ"، قَالَ: "وَمِسْكِينَةٌ مِسْكِينَةٌ امْرَأَةٌ لَيْسَ لَهَا زَوْجٌ"، قِيلَ: "يَا رَسُولَ اللهِ! وَإِنْ كَانَتْ غَنِيَّةً أَوْ مُكْثِرَةً مِنَ الْمَالِ؟" قَالَ: "وَإِنْ كَانَتْ."
Miskeen Hai, Miskeen Hai Wo Mard Jiski Biwi Na Ho,
Arz Ki Gayi : Aye Allah Ke Rasool! Agarche (Wo Mard) Maal Waala Ameer (Rich) Ho?
Farmaya : Haan, Agarche Maal Waala Ameer Ho
Phir Aaqa Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Miskeena Hai, Miskeena Hai Wo Aurat Jiska Shauhar Na Hi
Arz Ki Gayi : Aye Allah Ke Rasool! Chahe Wo (Aurat) Ameer Ho Ya Zyada Maal Waali Ho?
Farmaya : Haan (Chahe Maal Waali) Ho
(Shobul Iman Lil Bayhaqi, d. 458 Hijri, Hadees No. 5097, Jild No. 7, Safa No. 338, Publication : Maktabatur Rushd, Riyadh, 1st Edition, 1423 Hijri Ba Mutabiq 2003 Iswi)
Abde Mustafa
Qasimul Qadri
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here