Pahle Taulo Baad Mein Bolo


Ek Badshaah Ne Khwab Dekha To Tabeer Batane Waalo Ko Bulaya Aur Apna Khwab Sunaya, Ek Ne Kaha : Is Ki Tabeer Ye Hai Ki Aap Ka Beta, Pota Aur Par-Pota Aap Ki Nazro Ke Samne Marenge, Badshah Ko Ye Sun Kar Bada Ghussa Aaya Aur Use Qaid Mein Dalwa Diya, Phir Doosre Se Tabeer Poochi To Wo Pahle Shakhs Ka Haal Dekh Chuka Tha Isiliye Doosre Alfaaz Istimal Karte Huye Kahne Laga : Aap Apne Bete, Pote Aur Par-Pote Ki Taazposhi Ki Rasm Apni Aankho Se Mulahiza Farmayenge, Badshah Us Ki Baat Sun Kar Khush Hua Aur Use Inaam Wa Ikram Se Nawaza.


Ghaur Kijiye Ki Doosre Ki Tabeer Pahle Se Mukhtalif Nahi Thi Sirf Alfaz Ka Farq Tha Ki Beta Faut Hoga To Pote Ki Aur Pote Ka Intiqal Hoga To Par-Pote Ki Taazposhi Hogi. Lekin Pahle Ko Apne Alfaz Ki Wajah Se Saza Mili Aur Doosre Ko Munasib Lafzo Ke Intikhab Ne Inam Dilwa Diya.


Kis Se, Kis Waqt Aur Kis Andaaz Mein Kya Guftagoo (Conversation) Karni Hai? Humein Ye Malum Hona Chahiye. Insan Jab Bolta Hai To Kabhi Kisi Ke Dil Mein Utar Jaata Hai Aur Kabhi Koi Aisi Baat Kah Deta Hai Jis Ki Wajah Se Logo Ke Dil Se Utar Jaata Hai, Lihaza "Pahle Taulo Baad Mein Bolo" Par Amal Karna Chahiye.


Apni Guftagoo Mein Jaan Daalne Ke Liye Daurane Guftagoo Munasib Alfaz Ka Istimal Kijiye, Jaise "Andhe" Ki Jagah "Nabina",

"Boodhe" Ki Jagah "Buzurgh",

"Fulan Mar Gaya" Ki Jagah "Fula Ka Intiqal Ho Gaya",

"Kyo Aaye Ho?" Ki Jagah "Kaise Tashreef Laaye",

"Musibat Mein Pad Gaya" Ki Jagah "Aazmayish Mein Aa Gaya"

"Aap Ghalat Kah Rahe Hain" Ki Jagah "Meri Naqis Raaye Ye Hai Ki Ye Baat Is Tarah Hai",

"Aap Meri Baat Nahi Samjhe" Ki Jagah "Shayad Mai Apni Baat Samjha Nahi Paaya" Waghaira Alfaz Istimal Kijiye Aur Is Ke Fawayid Apni Aankho Se Dekhiye.


Baat Karte Waqt Ye Bhi Peshe Nazar Rakhein Ki Zuban Samne Waale Ke Munh Mein Bhi Hai Aur Us Ki Baat Bhi Sunein Kyunki Guftagoo Isi Ka Naam Hai Ki Kabhi Ek Bole Aur Doosra Sune To Kabhi Doosra Bole Aur Pahla Sune. Agar Aap Apni Hi Sunate Chale Jaayenge To Wo Dobara Aap Ko Dekhte Hi Rasta Badal Sakta Hai.


Aakhiri Baat Ye Hai Ki Pur Sukoon Lahje Ka Istimal, Samajhne Aur Samjhane Mein Madadgaar Hota Hai, Chunanche Acchi Se Acchi Guftagoo Bhi Agar Kharab Lahje Mein Ki Jaaye To Sunne Waale Ko Nagawar Guzregi. Daurane Guftagoo Apni Aawaz Ke Utaar Chadhao Par Nazar Rakhiye, Log Jaldi Aap Ki Baat Samajh Jayenge, Aawaz Ki Bulandi Wa Pasti Aap Ki Bulandi Wa Pasti Ka Sabab Ban Sakti Hai.


Allaah Ta'ala Humein Fizool Goyi Se Mahfooz Rakhe


Abde Mustafa Daanish Shahan

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post