Seen Ki Seeti


Kuchh Log Namaz Mein Quran Aur Tasbeehaat Waghaira Is Tarah Padhte Hain Ke Jo Unke Baghal Mein Namaz Padh Rahe Hote Hain Wo Bechare Bhool Jaate Hain Ke Unhein Kya Padhna Tha...! 

Hum Ye Nahin Kehte Ke Makharij Ada Na Kiye Jaayein Ya Bilkul Aawaz Nikale Bina Padha Jaaye Ke Jisse Namaz Hi Nahin Hoti Lekin Mubalgha Achhi Cheez Nahin

Kuchh Khaas Log Hain Jo Ye Zyada Karte Hain, Shayad Aapko Bhi Kahin Mile Ho'n To Aap Samajh Jayenge Baaqi Naam Lena Zaroori Nahin


Seen Ki Seeti Aisi Bajate Hain Aur "Haa" "Ayen" Waghaira Ko Is Tarah Ada Karte Hain Ke Jaise Makhraj Poori Jama'at Mein Sirf Unhi Ka Khassa Hai Baaqi Sab Isse Nabalad Hain, Ab Pata Nahin Iske Pichhe Kya Wajah Hai Jo Aisa Kiya Jaata Hai

Na Jaane Kis Tarah Se Aur Kya Bata Kar Tajweed Seekhai Jaati Hai Ya Namaz Mein Qira'at Ke Masail Bataye Jaate Hain! 


Phir Isi Tarah Aam Bol Chaal Mein Bhi Urdu Alfaaz Ko Arabi Ka Paband Banana Shuru Kar Dete Hain Aur Jahan Maroof Tariqe Se Raaij Shuda Lehje Mein Baat Karna Khubsoorat Hota Hai Wahan Zabardasti Makharij Mein Mubalgha Kar Ke Guftagu Ki Ek Alag Hi Soorat Bana Dete Hain Aur Dusro Ko Ghair Faseeh Qaraar Dene Mein Bilkul Hichkichahat Mahsoos Nahin Karte

Jo Zubaano Bayaan Ka Achha Ilm Rakhte Hain Un Ko Bhi Ye Log Tanqeedi Nazro Se Dekhte Hain Aur Ghalati Pakad Kar Be Mahal Islah Ka Koi Mauqa Haath Se Nahin Jaane Dete, Ye Tariqa Bhi Inhi Ka Khassa Hai Warna Jo Jaante Hain Wo Kehte Nahin Jo Kehte Hain Wo Jaante Nahin

Allah Humein Etidal Pe Qaaim Rakhe 


Abde Mustafa Official

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post