Kitabo Mein Jhooti Riwayatein 


Kisi Bhi Riwayat Ko Sahih Qaraar Dene Ke Liye Sirf Ye Kaafi Nahin Hai Ke Kisi Kitab Ka Hawala Pesh Kar Diya Jaaye

Humare Muqarrireen Aur Awaam Ka Yahi Tariqa Hai Ke Jab Kisi Riwayat Ke Baare Mein Kuchh Kaha Jaaye To Bas Kisi Kitab Ka Hawala Pesh Kar Dete Hain Aur Uske Samne Baaqi Saari Tehqeeqi Baato Ko Nazar Andaaz Kar Dete Hain, Ye Tariqa Bilkul Ghalat Hai

Ye Jaan Lijiye Ke Jitni Bhi Jhooti Riwayatein Hain Wo Aapko Kisi Na Kisi Kitab Mein Zaroor Milegi To Agar Sirf Kitab Mein Hona Hi Sahih Hone Ke Liye Kaafi Hai To Phir Koi Riwayat Jhooti Nahin Bachegi, Har Riwayat Ko Sahih Manna Padega


Agar Koi Kitab Motabar Bhi Hai To Bhi Us Mein Kisi Riwayat Ka Hona Uske Sahih Hone Ke Liye Kaafi Nahin Hai, Ye Bhi Hota Hai Ke Kitab Aur Musannif Dono Motabar Hote Hain Par Us Kitab Mein Baaz Baatein Qabile Aitbar Nahin Hoti Aur Unhein Tasleem Nahin Kiya Ja Sakta


Kuchh Riwayatein Aisi Hoti Hain Ke Unke Alfaaz Hi Bata Rahe Hote Hain Ke Wo Jhooti Hain Lekin Ye Samajhne Ke Liye Kitabo Par Gehri Nazar Hona Zaroori Hai Aur Saath Hi Tehqeeqi Zehan Bhi Hona Chahiye Warna Har Waqiya Sahih Nazar Aayega


Awaame Ahle Sunnat Aur Khaas Kar Muqarrireen Ko Apni Is Aadat Se Baaz Aana Chahiye Ke Bas Ek Kitab Ka Naam Pakad Ke Baith Jaate Hain Aur Phir Kuchh Bhi Sunna Nahin Chahte, Aise Aap Haqeeqat Ko Kabhi Dekh Nahin Payenge


Abde Mustafa

Muhammad Sabir Qadri

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post