Peer Yaani Paise


Ye Tehreer Kai Logon Ko Chubhegi Lekin Haqeeqat Yahi Hai

Ek Peer Jahan Hoga Paise Wahin Honge Yaani Ummate Muslima Ka Maal Wahin Jama Hoga

Aisa Isliye Kyunki Jahan Daure Haazir Mein Peeri Mureedi Ka Muamla Aa Jaata Hai To Wahan Badi Zabardast Aqeedat Hoti Hai Jise Angrezi Mein Aap "Pro Max Level" Ki Keh Sakte Hain, Ye Aqeedat Kisi Aalim, Dost, Biwi Ya Rishtedar Waghaira Kahin Dekhne Ko Nahin Milegi

Ye Itni Khatarnak Aqeedat Hoti Hai Ke Banda Apne Zehan Ko Ek Dayere Ke Andar Qaid Kar Leta Hai, Apni Salahiyato Ko Bech Deta Hai, Apni Aql Ka Istemal Karna Band Kar Deta Hai Aur Jo Bhi Samne Se Kaha Jaaye Use Harfe Aakhir Maan Leta Hai Aur Uske Muqabil Mein Koi Daleel Uski Samajh Mein Nahin Aati Aur Koi Haqeeqat Uske Liye Qabile Qabool Nahin Hoti, Aisi Aqeedat Ke Hi Natije Mein "Shiddat Pasandi" Aur "Shakhsiyat Parasti" Jaisi Badi Badi Beemariya Aa Gai Hain


Jinhein Hum Dhongi Peer Kehte Hain Ya Jaali Peer Ke Naam Se Jaante Hain, Wahan Bhi Ja Kar Dekhein Unke Kitne Manne Aur Chahne Waale Unke Aage Pichhe Lage Rehte Hain, Wo Shariat Ke Khilaf Bhi Kaam Kar Rahe Hote Hain Aur Hukm Bhi Dete Hain Lekin Aqeedat Ka Ye Aalam Hai Ke Log Uske Hukm Ko Bajaa Laate Hain Aur Unke Muqabil Mein Mustanad Ulama Ke Quraano Sunnat Se Manqool Aur Maqool Dalail Tak Ko Nazar Andaaz Kar Dete Hain, Bas Yahi Aqeedat Hai Ke Peer Saahib Ke Liye Tan, Man Aur Dhan Sab Haazir Kar Diye Jaate Hain


Kisi Tanzeem Mein, Dargah Mein, Khanqah Mein Ya Kisi Bhi Giroh Mein Agar Ek Peer Hai To Wo Markaze Aqeedat Hai Aur Is "Pro Level" Ki Aqeedat Mein Log Apna Sab Kuchh Qurban Karne Ke Liye Khade Rehte Hain To Pata Chala Ke Aise Mein Do Cheezein Inke Paas Chali Jaati Hai, Pehli Hai Fan Following Aur Dusri Funding To Ab Inke Muqabil Agar Koi Achhe Se Achha Kaam Bhi Kar Raha Ho To Wo "Chhota" Hota Hai Aur Ginti Ke Log Uska Saath Dete Hain

Ab Is Mein Hua Ye Ke Kai Kaam Karne Waale Jinhein Qaum Ka Support Milna Chahiye Tha, Na Mil Saka Aur Saara Support Bas Ek Hi Qism Ke Logon Ko Pahunch Gaya, Ise Yun Samajh Lein Ke 10 Rupay 5 Logon Mein Taqseem Hone The Magar Jab 8 Rupay Kisi Ek Ke Paas Hi Chale Gaye To Baaqi Bache 4 Logon Ko 2 Rupay Mein Hi Guzar Basar Karna Padega Aur 8 Rupay Lene Waala Badhta Chala Jayega, Baaqi Sab Poori Zindagi Tangi Aur Masail Jhel Kar Kaam Karenge To Karenge Warna Kaam Ruk Jayega


In Baato Par Aap Ghaur Karenge To Bahut Si Baatein Saamne Aayengi Jinse Ye Bhi Samajh Mein Aa Jayega Ke Ahle Sunnat Mein Inteshar Kyun Badhta Ja Raha Hai Aur Itni Dawato Tableegh Ke Baad Bhi Sunniyo Ki Haalat Aisi Kyun Hai Aur Mazeed Kharaab Kyun Hoti Ja Rahi Hai


Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post