Deen Ka Kaam Log Kis Tarah Karte Hain?

Deen Ka Kaam Karne Waale Kai Qism Ke Hain, Ek Badi Tadaad Aisi Hai Jo Is Kaam Ko Dusre Darje Par Rakhti Hai Yaani Pehle Darje Mein Paise Kamana, Khana Peena, Ghoomna Phirna Aur Dusre Aisho Aaraam Ke Samaan Ya Keh Lein Ke Na Khatm Hone Waali Zaroorat Ki Ashya Ki Talab Mein Lage Rehna Hai, Ye Sab Pehle Darje Mein Aata Hai, Is Mein Sabse Pehle Aata Hai "Maal Kamana" Aur Baaqi Cheezein Isi Ke Dum Se Hoti Hain To Ise Hum Majmui Taur Par "Pesha" Keh Lete Hain Ke Pehla Darja Hai "Peshe" Ka Jise Angrezi Mein Profession Ya Business Waghaira Keh Lein Phir Baari Aati Hai Deen Ke Kaam Ki, Ab Is Mein Hota Ye Hai Ke 50% Se Zyada Waqt "Peshe" Mein Chala Jaata Hai Aur Jo 50% Bachta Hai Us Mein Ghar Pariwar Dost Yaar Aur Nahana Sona Waghaira Sab Shamil Hai To Is Hisab Se Bahut Kam Waqt Aisa Bachta Hai Ke Jis Mein Deen Ka Kaam Kiya Ja Sake, Jab Kabhi Waqt Milta Hai To Dusre Darje Pe Nazar Jaati Hai Ke Chalo Deen Ka Kaam Karte Hain Aur Utne Waqt Mein Bhi Tasalsul Nahin Hota Yaani Wo Waqt Roz Nahin Milta To Phir Deen Ka Kaam Bhi Nahin Ho Paata

Ab Ek Qism Un Logon Ki Hai Ke Jinse Deen Ka Kaam Is Tarah Karwaya Jaata Hai Ke Pehle Darje Mein Jo "Pesha" Hai Usi Mein Deen Shamil Kar Diya Jaaye Yaani Yun Keh Lein Ke Wo Deen Ka Kaam Hi Uska "Pesha" Ban Jaaye, Ab Aisa Karne Se Hota Ye Hai Ke Deen Ka Kaam Pehle Darje Par Aa Jaata Hai Yaani Pehle Wo Deen Ka Kaam "Peshe" Ke Taur Par Karega Aur Zyada Waqt Isliye Dega Ke Usko Isi 
Se Maal Haasil Hoga To Yahan Bhi Deen Ka Kaam Waisa Nahin Ho Paata Jaisa Hona Chahiye Kyunki Asal Maqsad Paisa Kamana Ho Jaata Hai Aur Deeni Zimmedari Samajh Kar Bahut Kam Log Kaam Karte Hain Baaqi Riwayati Duty Karne Waalo Ki Kasrat Hai

Ab Ek Qism Aati Hai Un Logon Ki Jo Haqeeqi Maano Mein Deen Ka Kaam Karne Waale Hain, Ikhlaas Ke Saath Karne Waale Hain, Unke Liye Deen Ka Kaam Pehle Darje Par Hota Hai Aur Peshe Ko Dusre Darje Pe Rakhte Hain, Deen Ko Pesha Bhi Nahin Banate Hain, Ye Log Khul Kar Kaam Karte Hain, Haq Bolte Hain, Kuchh Inqelabi Kaam Kar Jaate Hain, Kisi Ki Chaplusi Nahin Karte, Inhein Khauf Nahin Hota, Ye Allah Ki Raza Chahte Hain, Inhein Gham Nahin Ke Kaun Naraaz Hoga Aur Kaun Dunya Waala Raazi Hoga, Inko Jaza Waale Din Se Ummeed Hai Aur Bhooke Reh Kar Bhi Ye Deen Ka Kaam Karte Hain, Musibatein Sehte Hain, Mukhalifat Jhelte Hain, Ye Kisi Ka Bhi Radd Kar Sakte Hain Kyunki Mustaqil Ho Kar Kaam Karte Hain, Aise Hi Log Haqeeqi Maano Mein Deen Ka Kaam Karte Hain, Humare Akabireen Ne Isi Tarah Kaam Kiya, Chahe Jaise Bhi Halaat Aaye Par Unhone Deen Ko Pehle Darje Pe Rakha, Bhooke Reh Kar Bhi Kitabein Padhi Aur Likhi, Poori Zindagi Ghurbat Mein Guzaar Kar Bhi Deen Ka Kaam Karte Rahe, Yahi Wo Log Hain Ke Jinke Kaam Se Aaj Sab Faida Utha Rahe Hain, Yahi Log Haqeeqi Maano Mein Deen Ka Kaam Karne Waale Hain... 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post