Hawas Thi Deed Ki Meraj Ka Bahana Tha
Waqiya -e- Meraj Ke Talluq Se Ye Ash'aar Kasrat Se Padhe Jaate Hain:
Suhani Raat Thi Aur Pur Sukoon Zamana Tha
Asar Mein Dooba Hua Jazbe Aashiqana Tha
Unhein To Arsh Pe Mahboob Ko Bulana Tha
Hawas Thi Deed Ki Meraj Ka Bahana Tha
In Ash'aar Ko Padh Kar Kayi Qawwalo Ne Youtube Par Daal Rakha Hai Jise Dekhne Waalo Ki Taadad Karodo Mein Hai, Aap Is Se Bakhoobi Andaza Laga Sakte Hain Ke Ye Ash'aar Kitne Aam Ho Chuke Hain. Humne In Ash'aar Ke Mutalliq Sharayi Hukm Janne Ke Liye Muftiyane Kiraam Ki Taraf Rujoo Kiya Phir Jo Malumaat Haasil Huyi, Hum Unhein Pesh Kar Rahe Hain.
Sharahe Bukhari, Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Rahmatullahi Ta'ala Likhte Hain Ke Allaah Ki Taraf Hawas Ki Nisbat Karni Gustakhi Hai, Jis Ne Ye Sher Kaha Hai Ke Hawas Thi Deed Ki Meraj Ka Bahana Tha Us Par Aur Jis Qawwal Ne Ise Gaaya Aur Jin Logo Ne Sunkar Pasand Kiya Aur Wo Sab Jinhone Is Sher Se Istidaal Kiya Un Sab Logo Par Tauba Wa Tajdeede Imaan Aur Biwi Waale Hain To Tajdeede Nikah Bhi Laazim Hai. Reh Gaya Ye Bahana Ke Humari Muraad Hawas Ba Maana Shuaq Ke Hai, Yahan Par Qaabile Qubool Nahi Isiliye Ke Wo Urdu Mein Bol Rahe Hain Aur Urdu Mein Hawas Ke Maana Mutlaqan Shauq Ke Nahi Balki Mazmoom Shauq Ke Hain. Wallahu Ta'ala Aalam.
(Fatawa Shaarehe Bukhari, Jild 1, Page 217)
In Ash'aar Mein Hawas Ke Ilawa Ek Aur Qaabile Girift Lafz Maujood Hai Aur Wo Hai "Bahana", Humne Jab Muftiyane Kiraam Se Is Ke Mutalliq Sawal Kiya To Muttafiqa Taur Par Is Ke Istimal Se Mana Kiya Gaya. Is Lafz Par Bhi Hum Isiliye Alag Se Kalam Kar Rahe Hain Kyonke Kayi Logo Ne In Ash'aar Ko Durust Karne Ke Liye Ke Liye Lafz "Hawas Ki Jagah" Talab Ko Laga Diya Aur Is Tarah Padhna Shuru Kar Diya.
Talab Thi Deed Ki Meraj Ka Bahana Tha
Is Tarah Padhna Bhi Durust Nahi Hai. Allaah Ta'ala Ki Zaat Ke Liye Aise Alfaaz Ka Istimal Kiya Jaana Chahiye Jin Mein Koi Bura Maana Na Paaya Jaata Ho. Isi Wajah Se Miyan Waghaira Ki Bhi Mumanat Aai Hai.
Huzoor Tajushshariah, Allama Mufti Akhtar Raza Khan Bareilwy Rahimahullahi Ta'ala Se Kayi Alfaz Ke Mutalliq Sawal Kiya Gaya Ke Kya Inka Istimal Allaah Ta'ala Ki Zaat Ke Liye Kiya Ja Sakta Hai, In Alfaaz Mein Qurban, Fida, Nyauchawar, Aashiq, Haaziro Naazir Waghaira Shaamil The Aur Ye Misra Bhi Tha Ke "Hawas Thi Deed Ki Meraj Ka Bahana Tha" Aap Rahimahullahu Ta'ala Ne Har Lafz Ke Istimal Ka Sharayi Hukm Alaahida Alaahida Dalayil Ke Saath Bayan Farmaya Aur Jab Is Misre Par Pahunche To Farmaya.
Hawas Wa Bahana Ka Itlaaq Allaah Ta'ala Ke Liye Kufr Hai Jisse Tauba Wa Tajdeede Imaan Wa Tajdeede Nikah Laazim Hai.
(Dekhein Fatawa Tajushshariah, Jild 1, Page 168-169)
Lafz Hawas Ke Talluq Se To Kayi Fatawa Aam Hue Hain Lekin Humne Apni Is Tahreer Mein Lafze Bahana Par Bhi Kalam Kiya Hai Jiski Wajah Hum Bayan Kar Chuke.
Ek Mufti Sahab Ne Yaha Ye Bhi Farmaya Ke Kya Allaah Ta'ala Ko Humare Nabi Ki Deed Aise Nahi Hoti Thi Ke Meraj Par Bulana Pada?
Ye Baat Bhi Ghaur Karne Waali Hai
Khulasa Ye Hai Ke In Ash'aar Ko Padhna Durust Nahi Hai. Awaam Se Guzarish Hai Ke Aise Kisi Bhi Sher Ko Padhne Aur Pasand Karne Se Pahle Ulama -e- Ahle Sunnat Ki Taraf Rujoo Zaroor Karein.
Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post