Jaldi jawab do

Humare paas kuchh log, khaas kar naujawan hazraat aate hain aur kehte hain ke humari fulaan mas'ale par fulaan se bahas ho gai hai aur usne ye puchh diya hai lihaza ab aap "jaldi jawab do" aur mas'ala aisa hota hai ke jiska jawab tafseel talab hota hai, aise jaldi mein samjha paana mumkin nahin hota, kai cheezein waqt aur itmenan ka taqaza karti hain

Aise jazbaati ho kar mazhabi bahaso mein padna sahih nahin hai, Jab tak aapke paas kaafi ilm na ho tab tak aisi bahaso se khud ko bacha kar ilm haasil karein, Agar aap aisa nahin karte to aap khatre mein pad sakte hain aur wo is tarah ke bina kaafi ilm haasil kiye aisi bahaso mein padna gumrahi ka sabab bhi ban sakta hai
Social media par humare kai naujawano ka to kaam hi yahi hai ke wo bas ek dusre se bahas mein waqt barbad karte hain, isse bachna chahiye, Iske bajaye aap apni shakhsiyat ki tameer karein

Aisa karne waale aksar wahi hote hain jinhone kitabo ko sahih se padha nahin hota, Yaani gehra mutala nahin kiya hota, Jo log gehrai mein ja kar ilm haasil karte hain wo aisi harkatein nahin karte, Aap bhi aise logon mein ho jaayein jo jaame ilm rakhna chahte hain, aadha adhoora nahin aur iske liye aapko kaafi mehnat karni hogi, Khud ko tayyar karein aur ilm haasil karein, Isi mein bhalaiya'n hain

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post