Ladkiyo Mein Aazad Khayali

Humare Zamane Ki Ladkiya.....! Allaah Raham Kare. Aazad Khayali In Mein Be Had Badh Chuki Hai. Is Ki Sab Se Badi Wajah Hai Asri Taleem, Ye Bas Naam Ki Taleem Hai Ke Jahan Waqt Aur Paisa Hi Nahi Balki Ladkiyo Ka Zehan Bhi Barbad Ho Raha Hai. Jise Dekhiye Apni Beti Ko "Kuch Banane" Ki Dhun Mein Magan Hai Aur Asal Cheezo Ko Bhool Baitha Hai. Ek Ladki Ghar Ka Kaam Jaanti Ho Ya Na Jaanti Ho Lekin Use B.A. M.A. Zaroor Padhana Hai Jo Ke Us Ki Zindagi Ko Khush Haal Banane Ke Liye Yaqeenan Na Kaafi Hai. Kuch Logo Ne To Ye Soch Bana Rakhi Hoti Hai Ke Agar Ladki Ke Saath Kuch Bura Hota Hai To Wo Aage Chal Kar Khud Kama Kha Sakti Hai, Ye Badi Ajeeb Soch Hai Jo Sirf Sunne Mein Acchi Lagti Hai. Ek Aisi Hi Soch Ye Hai Ke Ladkiyo Ko Doctor Banana Zaroori Hai Aur Is Soch Par Bina Soche Samjhe Poori Ummat Ki Ladkiyo Ko Is Daud Mein Laga Diya Gaya Aur Haasil Kuchh Nahi Hua Aur Jo Thoda Bahut Hua Bhi To Wo Pahunchne Waale Nuqsan Ke Samne Kuch Bhi Nahi.

Asri Taleem Ka Jo Nizam Hai Aur Jo Nisab Mein Shamil Mawaad Hai Wo Ladki Ke Andar Se Kayi Cheezo Ko Chheen Leta Hai Jin Mein Ek Haya Bhi Hai.

In Muaamlaat Par Hakeemul Ummat, Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahmatullahi Ta'ala Alaih Ne Bahut Tafseel Se Likha Hai Aur Unhi Ki Taleemat Ko Hum Aam Kar Rahe Hain. Humara Bayan Unhi Ki Ibaarat Ka Khulasa Hai. Ye Jise Aaj Log Accha Samajhne Lage Hain Wo Bura Hai Aur Jo Accha Hai Use Bura Samjha Ja Raha Hai. Ek Ladki Ko Padhane Likhane Ke Naam Par Bahut Fitne Paida Ho Rahe Hain Aur Nuqsan Hi Nuqsan Ho Raha Hai. Har Ghar Is Fitne Ki Aag Ki Tapish Se Jal Raha Hai Lekin Phir Bhi Log Samajhne Ke Liye Taiyyar Nahi Hain. Ladkiyo Ki Asri Taleem Koi Chhota Mas'ala Nahi Hai, Is Par Ghaur Karna Zaroori Hai.
Ladkiyo Ko Aazad Khayal Banne Se Bachana Hai To Unhein Is Naam Nihaad Taleem Se Door Karna Hoga Warna Ghar Ghar Mein Padhi Likhi Ladki Ki Shakl Mein Ek Fitna Maujood Hoga Aur Kaafi Had Tak Aisa Ho Bhi Chuka Hai. Hum Allaah Ta'ala Se Aafiyat Ke Taalib Hain.

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post