Aalima
Is lafz ko bahut halka samajh liya gaya hai, Koi bhi ladki jis mein itni bhi salahiyat nahin ke fiqh ki bunyadi baatein bayaan kar sake wo bhi apne naam ke saath Aalima likh rahi hai, Short courses aa gaye hain bazaar mein jinhein karne ke baad fauran sanad bhi de di jaati hai uske baad in sanad yafta ladkiyo ko lagne lagta hai ke wo haqeeqat mein Aalima ban gai hain lekin unka ilm aisa adhoora aur khatarnak hota hai ke jahan kalaam karein to bas fitna hi phaile
Ek ladki ne apne baare mein likha ke wo Aalimao ko bhi masail sikhati hai lekin jab usse Fiqh ki bunyadi 11 istelahaat ke baare mein puchha gaya to khamoshi chha gai aur khud qabool kiya ke usne ye pehle nahin sune the aur apne gumaan mein wo is qadr mustaqil hai ke baqaida logon ko masail puchhne ki dawat de rahi hai aur fatwe de rahi hai, Yahi bas ek muamla nahin, kasrat se aisa ho raha hai ke ilm ke jhoote daawe kiye ja rahe hain aur bahut thode se ilm ke zariye fitna phailaya ja raha hai
Kai ladkiya aisi hain ke jinhone WhatsApp par apna darul ifta khol rakha hai aur wo kitni ghalatiya kar rahi hain, iska unhein khud shuoor tak nahin ke ruju ki bhi taufiq mil sake
Kai logon ke saath aisa hua ke Aalima ka label dekh kar nikah to kar liya lekin jab baad mein haqeeqat maloom hui to bade masail hue yahan tak ke baat talaq tak ja pahunchi, Isliye sirf label aur sanad dekh kar faisla na karein balki achhi tarah soch samajh lein, Logon ko Aalima se nikah karne ka jo shauq chadha hai use thodi der ke liye kinare rakh kar sochna chahiye aur tamam baato par ghaur kar lena chahiye warna nataij bure ho sakte hain
Allah Ta'ala humein jhoote daawe aur waade karne se bachaye
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here