Rozana atharah ghante mutala'a
Jab hum buzurgo ke bare mein padhte hain to kayi jagahon par "atharah ghante mutala'e" ka zikr milta hai. Yeh padh kar hairan hona yaqeeni si baat hai. Meri zindagi mein bhi ek daur aisa guzra hai ke mein rozana "atharah ghante" mutala'a kya karta tha. Yeh woh daur tha jise mein apna "sunehra daur" manta hoon. Mein yeh tehreer kuch logon ke sawal karne par likh raha hoon jinho ne poocha hai ke yeh kis tarah mumkin hai ke ek din mein atharah ghante mutala'a kiya jaye.
Agar aap yeh sochte hain ke paisay kamane ke liye chhe se saat ghante de kar, phir ghoomne phirne mein ek do ghante laga kar aur aath das ghante sone ke baad yeh mumkin ho jaye to aisa bilkul nahi ho sakta. Rozana atharah ghante mutala'a karne ka saaf matlab hai ke aap ko kayi cheezon se khud ko azaad karna hoga. Maine 2011 mein dusvi class (matric) ka imtehan diya aur us ke baad college mein dakhila le liya lekin class karne nahi jata tha aur koi kaam bhi nahi tha. Poora poora din bas ghoomne phirne mein guzarta tha. Isi darmiyan dini kitabon ki taraf rujhaan badhna shuru hua aur aisi lazzat hasil hui ke rasta chalte, uthte baithte aur khana khaate hue bhi bas kitabon par hi nazar hoti. Mujhe hajat ke liye jab jana padta to bahut giraan guzarta aur mein jaldi se jaldi anay ki koshish karta taake phir se mutala'a shuru kiya ja sake. Jab kisi cheez ka shoq ho aur junoon sar par sawar ho to na neend aati hai aur na bhook sataati hai, mere saath bhi aisa hi kuch tha.
Agar aap bhi apne andar yeh junoon paida kar lein aur dosray kaamon se khud ko azaad kar lein to yeh mumkin hai, warna nahi. Mera iss tarah mutala'a ka silsila kuch salon tak chala jis mein hazar se zaid kitabein padh li aur in mein aisi kitabein bhi shamil hain jo kayi kayi jildon par mushtamil thi. Phir masroofiyaat badhti chali gayi aur yeh kam hota gaya lekin aaj bhi aksar waqt kitabon par hi sirf hota hai, ab chahe mutala'a ho, tahqiq ho, tehreer ho, nazre sani ho, tarteeb ho ya phir isha'at se juda kaam ho. Abhi bhi raat ke sadhe teen baje hain aur mein yeh likh raha hoon.
Ek report ke mutabiq taqreeban chalees percent nojawan aath ghante se zyada social media ka istemaal karte hain! Aur un mein se bahut se aise hain jo 12-14 ghante bas mobile phone par lage rehte hain to phir atharah ghante mutala'a karna kaise namumkin ho sakta hai? Baqi bache 6 ghanton mein ek neend aur doosri zarooriyat poori ki ja sakti hain lekin jaisa ke maine bayan kiya, ek junoon hona chahiye.
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here