Tabarrukaat ka dhanda
Koi bhi kahin se bhi khada hota hai aur kehta hai ke yeh baal, naalain aur kapda wagairah fulaan buzurg ka hai aur bhole bhaale log us par aqeedat aur maal ka chadhawa chadhana shuru kar dete hain. Hum tabarrukaat ki azmat ka inkaar nahi karte lekin farzi tabarrukaat ka jis tarah bazaar garam hai, is se ittefaq bhi nahi kar sakte.
Humari Sunni awaam itni bholi hai ke ek silaai machine ki tasveer jis mein yeh likha hota hai keh yeh Hazrate Khadijah Radiallaho Ta'ala Anha ki machine hai, use bhi aqeedat ke saath aam karna shuru kar dete hain aur yeh tak nahi sochte ke us machine ka ejaad kab hua.
Humare mulk Hindustan mein darjno naalain aise mil jayenge jin ke bare mein yeh kaha jata hai keh woh Nabiye Kareem ﷺ ke hain. Ab sochne waali baat hai keh itne naalain Hindustan mein kahan se aa gaye? Kya yeh tabarrukaat ke naam par dhanda nahi hai?
Kahin se sunne mein aaya keh Hazrate Jibrail Alaihissalam ke baalon ki ziyaarat karwai ja rahi hai!
Allama Usaidul Haq Qadri ne likha tha ke kisi shehar ke bare mein unhein maloom hua ke jahan us takhti ki ziyaarat karwai ja rahi hai jis par Hasanain Kareemain ka tahreeri muqabla hua tha jabki iss riwayat ki hi asal nahi milti. Phir aap likhte hain ke ho sakta hai ke kahin us jannati seb ki bhi ziyaarat karwai jaane lage jis se us takhti ka faisla hua tha toh duniya mein jannati phal dekhne ka sharf hasil ho jayega.
(Khulasa: Naqad o Nazar)
Maazi qareeb mein jin buzurgon ka inteqal hua aur jo abhi ba hayaat hain un ke bhi tabarrukaat ke saath ajeeb-o-ghareeb muamlaat ho rahe hain. Koi apne peer ke baalon ko mooye mubarak bol kar taqseem kar raha hai aur peer sahib khamosh hain! Koi kurte aur imame ke kapdon ke tukde ko farokht kar raha hai aur log badi badi raqam de kar usey kharid rahe hain! In sab ki hudood ko pehchanna zaroori hai, iss tarah aqeedat mein had se badhna durust nahi hai.
Tabarrukaat ki tazeem zaroori hai lekin hum aap ki tawajjo iss ke naam par chal rahe dhande ki taraf le jana chahte hain. Asal aur farzi mein farq ka shuoor paida karen aur apni aqeedat ka ghalat istemaal honay se bachayen.
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here