Ulama aur Aurat ki tasveer

Bahut bahut mazirat ke saath yeh baatein arz kar raha hoon, Agar dil aazari ho jaaye to muaaf kijiyega. Kasrat se dekhne ko mil raha hai ke hamare Ulama social media par auraton ki tasveerein aam kar rahe hain! Koi aisa news (khabar) ke naam par kar raha hai to koi shauq se aisa kar raha hai. Ye tasveerein kisi bhi haalat mein li hui hoti hain, maslan baal aur jism ke hisse nazar aa rahe hote hain.

News mein kisi aurat ko dikhaya gaya, aap ne dekh liya, yeh ek alag baat hai lekin ab ise aam kar dena ek doosri baat hai. Agar ek Aalim aisa kare to phir bahut badi baat hai. Agar aap ko khabar hi bayan karni hai to aurat ki tasveer ke baghair bhi kar sakte hain. Agar kisi muaamle par apni raaye ka izhaar karna hai to us ke liye bhi aurat ki tasveer zaroori nahi hai. Agar radd ya difa karna hai to bhi bina tasveer ke kiya ja sakta hai.

Ab yeh ke auraton ki tasveerein sirf hansi mazaq ke liye aam ki jaayein to yeh intehai ghair munasib kaam hai. Ulama ko in baaton se parhez karna chahiye. Kuchh ko dekha gaya hai ke koi bhi short clip jo aaj kal log apne social media accounts se status par lagate hain, use bina soche samjhe aam kar dete hain jab ke us mein wazeh tor par auratein nazar aa rahi hoti hain. In sab ki hargiz ijazat nahi hai.

Hamare Ulama agar aisa karenge to awaam ka kya hoga? Awaam to phir ise bura hi nahi samjhegi. Hum ye nahi kehte ke har Aalim aisa kar raha hai lekin maine yeh bahut kasrat se dekha hai, hatta ke kuchh bade naamwar Ulama ko bhi. Allah ta'ala hamare haal par reham farmaye.

Abde Mustafa 

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post