Ahle Hadees ka khokhla daawa

Bholi bhaali Sunni awaam ko jaan lena chahiye ke ye naam ke Ahle Hadees jo daawe karte hain un mein ye bilkul jhoote hain, Inka daawa hai ke ye Quraano Sunnat par amal karte hain lekin kisi Imam ki taqleed nahin karte, Bina kisi Imam ki taqleed ke khud se Qurano Hadees se masail nikalna har kisi ke bas ki baat nahin hai, Ye kaam bas ek mujtahid kar sakta hai aur ye log hargiz mujtahid nahin, Yahan bas wo kehna kaafi hoga jo Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi rahimahullahu ta'ala ne likha hai, Aap likhte hain:

Yahan hum itna kehna chahenge ke Imam Raazi, Imam Ghazali waghaira Imam Tirmizi wa Imam Abu Dawood waghaira Huzoor Ghause Paak, Hazrate Bayazeede Bustami, Shah Bahaul Haq Naqshband Islam mein aise paaye ke ulama hain ke Ahle Islam in par jis qadr fakhr karein kam hai magar in hazraat mein se koi saheb bhi mujtahid na hue balki sab muqallid hi hue khwah Imam Shafai ke muqallid ho'n ya Imam Abu Hanifa ke, Maujuda zamane mein kaun hai jo inki tarah qabiliyat rakhta ho? Jab unka ilm mujtahid banne ke liye kaafi na hua to jin becharo ko abhi hadees ki kitabo ke naam lena bhi na aate ho wo kis shumar mein hain
Ek saheb ne ijtehad ka daawa kiya, maine unse sirf itna puchha ke Surah Takasur se kis qadr masail aap nikal sakte hain aur is mein haqeeqat, majaaz, sareeh wa kinaya, zaahir, nass kitne hain? Un bechare ne in cheezo ke naam bhi na sune the
(Jaa Al Haq)

Is daur mein apna imaan bachana bahut mushkil ho chuka hai lihaza bahut khabardar rehne ki zaroorat hai
Wahabi, Ghair Muqallid, Deobandi, Tableeghi waghaira se door rahein aur Ahle Sunnat Wa Jama'at ka daaman mazbooti se thaam kar rakhein

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post