Imam Ghazali ke fatwe ki wajah se... 

Chand dino pehle mujhe ek tehreer bheji gai jis mein Imam Ghazali rahimahullahu ta'ala ke baare mein ye likha gaya ke musalmano ko taraqqi se rokne waale Imam Ghazali hain aur unhone apne daur mein aise fatwe diye ke musalman science se door hone lage aur aaj tak jo musalmano ke halaat hain uski wajah Imam Ghazali ka fatwa hai! 
Phir aage likha ke khilafate usmaniya ke daur mein printing machine ke istemal par haraam hone ka fatwa diya gaya jiski wajah se musalman pichhe hote chale gaye! 

Ye saari baatein bohtaan ke ilawa kuchh bhi nahin, In baato ka haqeeqat se koi talluq nahin hai, Jisne bhi ye likha hai uska maqsad saaf zaahir hai ke wo musalmano ko Ulama se badzan karna chahta hai jaisa ke tehreer mein aage ja kar likhta hai ke:
"In fatwo ke baare mein soch kar ajeeb lagta hai, Aaj bhi aise ajeeb ajeeb fatwe diye jaate hain aur hum khamosh rehte hain jiski wajah ye hai ke humne Islam ko samjha hi nahin aur jo Ulama ne keh diya wo maan liya, Ulama se bhi ghalati ho sakti hai" 

Ise padh kar saaf maloom hota hai Ulama se bughz ko lafzo ka jaama pehna kar bayaan kiya gaya hai aur "Fatwa" jo ke sharai hukm hota hai use halka dikhane ki koshish ki gai hai aur Islam ka naam le kar gumrahi ki taraf dawat di gai hai ke har shakhs shariat ko apne aap samjhe aur fatwo ki mukhalifat par utar aaye

Jis ne bhi ye sab likha usne aakhir mein apni jahalat ko saabit karte hue likha ke:
"Jab hawai jahaz aaya to is mein safar karne ko haraam hone ka fatwa diya gaya, 
Jab radio aaya to iske haraam hone ka fatwa diya gaya..., (phir tehreer ke aakhir mein likhta hai ke) lagta hai ye ummat haraam aur halaal kar farq karne mein hi khatam ho jayegi aur hum taraqqi nahin kar payenge"

Ab batayein ke haraam aur halaal ka farq musalman na kare to kaun kare? Aur ye kaun ho sakta hai jo haraam halaal ki tameez khatm kar ke taraqqi ki taraf le jaana chahta hai? Aisi taraqqi jo Allah aur uske Rasool ke bayaan kiye gaye ahkaam ke khilaf ho wo taraqqi nahin balki jahannam ka rasta hai, Aisi tehreerein ek sazish ke tehat dushmano ki taraf se aam ki jaati hain taaki musalmano ka zehan badal diya jaaye aur phir unke zariye qaume muslim mein fitna paida kiya jaaye, Hoshyaar rahein aur aisi tehreero, videos aur kisi bhi tarah ke mawaad par bharosa na karein 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post