Bahas ke liye waqt

Kuchh kehne se pehle peshgi maazrat chahta hoon, Humari awaam aur khawaas dono ke paas bahas ke liye bahut waqt hai lekin kaam karne ke liye nahin. Jab se social media aaya hai tab se ye bahut zyada badh chuka hai, Mazhabi bahaso mein hissa lena har kisi ne apna farz samajh liya hai. Kisi bhi mauzu par koi bhi bahas karta nazar aa raha hai agarche us mauzu par ilm na rakhta ho, Mazhabi bahaso ke ilawa mein ye itna zyada nahin hai ke wahan banda tasleem karta hai ke use woh fann nahi aata ya us mauzu ke mutalliq ilm nahi rakhta lekin deeni muamlaat aur masaail par bina soche samjhe bolna shuru kar diya jata hai!

Sufiya -e- kiraam pehle to munaazre ko bhi achha nahin jaante the; ye alag si baat hai ke munaazra zaroori bhi hai, Imam Ghazali ka ye qaul milta hai ke wo yeh pasand nahi karte the ke munaazre mein un ke samne wala ghalati kare lekin aaj aap dekhein ke munaazra karne waala yahi chahta hai ke samne wala ghalati kare aur main use pakad loon, Yahi tariqa mazhabi bahaso mein aam hai ke samne waale ki ghalati ka intezar kiya jata hai taake use fauran ragad diya jaye, Ye tariqa kam az kam har jagah to durust nahi hai, Is se muamlaat mazeed bigad jate hain

Social media par koi ek tehreer ya ek post kar ke aag jala deta hai phir us mein aap ja kar dekhein to har shakhs lakdi liye maujood hota hai taaki aag ko mazeed badha sake, Humein aisi bahaso se bachna zaroori hai aur jab bahut zyada zaroori ho tabhi karna chahiye aur wahi kare jo is ka ahal ho warna aaj kal to munazre bhi aise logon ko karte dekha ja raha hai jo arabi padhna bhi nahi jante
Allah ta'ala raham farmaye

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post