Sultan Salahuddin Ayyubi aur Jihad se ishq
Qazi Ibne Shaddad, Sultan Salahuddin Ayyubi ke baare mein likhte hain ke jihad ki muhabbat aur jihad ka ishq us ke rago reshe mein sama aur un ke qalbo dimagh par chha gaya tha, Yahi un ka mauzu -e- guftagu tha, Humesha isi ka saazo samaan tayyar karte rehte, Is ke asbab wasail par ghaur karte, isi matlab ke aadmiyon ki unhein talash rehti, Isi ka zikr karne waale aur is ki targheeb dene waale ki taraf rukh karte, Isi jihad fi sabeelillah ki khatir unhone apni awlaad aur ahle khandan, watan maskan aur tamam mulk ko khairabad kaha, Sab ki mafariqat gawara ki aur ek kheme (tent) ki zindagi par qaane (qana'at karne waale) rahe, jis ko hawayein uda sakti thi, Kisi shakhs ko agar un ka qurb hasil karna hota to wo unko jihad ki targheeb deta aur is tarah unki nazar mein wuq'at hasil kar leta, Qasam khai ja sakti hai ke jihad ka silsila shuru karne ke baad unhone ek paisa bhi jihad aur mujahideen ki imdad wa i'aanat ke ilawa kisi masraf mein kharch nahin kiya, Sultan ki is aashiqana kaifyat aur dard mandi ki tasveer ki Qazi Ibne Shaddad ne yun kheenchi hai:
Maidane jung mein Sultan ki kaifyat ek aisi ghamzada maan ki hoti thi, jisne apne eklaute bete ka dagh uthaya tha, Wo ek saf se dusri saf tak ghode par daude phirte aur logon ko jihad ki targheeb dete, khud saari fauj mein ghasht karte aur pukarte phirte "Islam ki madad karo", Aankhon se aansu jaari hote, Shahi tabeeb ne mujhe bataya ke ek martaba jumuah se itwaar tak Sultan ne sirf chand luqme khaye, un ki tabiyat maidane jung ke ilawa kisi aur taraf mutawajje hi nahin thi
(Baitul Muqaddas az Allama Mufti Faiz Ahmed Owaisi rahmatullahi ta'ala alaih se makhuz)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here