Bulaao apne Nabi ko madad ke liye

Sultan Salahuddin Ayyubi bahut beemar the, us waqt yeh waqia pesh aaya ke Reginald ne musalmanon ke qafile par hamla kiya, Ye hajiyon ka qafila tha, Reginald ne na sirf loot maar ki balki musalmanon ko maarte hue yeh gustakhi bhara jumla bhi kaha ke "apne Muhammad (ﷺ) ko madad ke liye bulaao"! 

Wahan se farar hone waale hajiyon ne aa kar Sultan Salahuddin Ayyubi rahmatullahi alaih ko yeh waqia bataya, Aap shadeed aleel halat mein the, Hajiyon ki zubani yeh sun kar ke Reginald hajiyon ko qatl karte waqt keh raha tha ke "bulaao apne Rasool ko aa kar tumhein bachaye..." 
Sultan Salahuddin Ayyubi shadeed aleel hone ke bawajood ghamo ghusse se surkh ho gaye aur Madina Munawwara ki janib rukh kar ke arz kiya:

"Ya RasoolAllah (ﷺ)! Mujhe itni himmat dein ke mein aap ke gustakh ko apne haath se saza doon, badshah ko badshah nahin maarta lekin mein Reginald ko apne haath se waasil ba jahannam karunga" 

Aur phir tareekh is baat ki gawah hai ke Sultan ki arz barqahe Risalat ﷺ mein manzoor hui aur Sultan dekhte hi dekhte sehat mand ho gaye aur Reginald ko us ki gustakhi aur waada shikni ki saza dene ke liye Kark ke qile par hamla aawar hue magar Reginald qile mein nahin mila, aap ne qaidi hajiyon ko rihaai dilwai

Ek Arab muarrikh ke alfaz mein:
"(Sultan Salahuddin Ayyubi ne jo hamla kiya woh) aisa maloom hota tha jaise qiyamat toot padi ho" 

Phir ek din yeh gustakh bhi pakad mein aaya aur Sultan Salahuddin Ayyubi ne use waasile jahannam kiya

(Mulakkhasan: "Baitul Muqaddas" by Allama Mufti Faiz Ahmad Owaisi rahimahullahu ta'ala, Abde Mustafa Publications)

Abde Mustafa 

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post