Ghause Paak aur 72 ghaib ki baatein

Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat rahimahullahu ta'ala ne apni mash'hoore zamana tasneef "Addawlatul Makkiya" mein ek waqia naqal kiya hai jis mein Mahboobe Subhani, Peerane Peer, Hazrate Sayyiduna Ghause Aazam radiallaho ta'ala anho ne ghaib ki khabrein bayaan farmayi hain aur is waqie ko naqal karne ke baad Aala Hazrat ne bade ilmi andaz mein ginaya hai ke Hazrate Ghouse Aazam ne jo ghaib ki khabrein di hain unki tadad bahattar (72) hai, Is waqie ko padh kar jahan imaan taza hota hai wahin Aala Hazrat ne jis tarah se ghaib ki baatein ginai hain, unhein padh kar zehan jhoom sa jata hai, Hum yahan waqia to naqal nahi karenge lekin aap se zaroor kehenge ke ise ek baar zaroor padhein, Ye waqia aap Arabic, Urdu aur phir ab Roman Urdu mein bhi padh sakte hain, Roman Urdu mein ise Abde Mustafa Publications ne shaya kiya hai aur yeh sabhi internet par maujood hain

Ham yahan waqia naqal na kar ke aap se ek sawaal karna chahte hain, Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat rahimahullahu ta'ala ki zaat kis qadr mash'hoor hai yeh batane ki yahan zaroorat nahin aur aap ki ye kitaab bhi bahut mash'hoor hai phir is waqiye ko padh kar aap batayein ke kya aap ne taqreeron mein yeh waqia kahin suna hai? Humara andaza hai ke beshtar log is baat se ittefaq karenge ke taqreeron mein ye waqia kahin bhi sunne ko nahin mila, Ab is ka kya matlab samjha jaaye? Yahi samajh mein aa raha hai ke Imame Ahle Sunnat ka naam to khoob liya ja raha hai lekin un ki kitaaben nahi padhi ja rahi hain, Is ziman mein yeh sawaal bhi shamil kar lein ke kitne log aise hain jinhone achhi tarah Aala Hazrat ki is kitaab ka mutala kiya ho?

Bahaare Shari'at jaisi kitaab mein jin waqiaat ko jhootha kaha gaya hai agar hamare minbaron se unhein bhi bayan kiya ja raha hai to is ka hum kya matlab samjhein? Is se bilkul wazeh hai ke khawas mein bhi  kitabein padhne waale bahut kam hain, kitaabon se doori ka natija hai ke halaat itne kharab ho chuke hain, Agar aise hi kitaabon se doori rahi to nataij aur khatarnak sabit honge, Ab humein zaroorat hai ke copy paste karna band karein, Kisi bhi muqarrir se sirf sun kar aage bayan na karein, Kitaaben padhein aur mustanad baatein bayan karein, Is ke liye wasee mutale ke sath tehqeeqi zehan zaroori hai, Allah Ta'ala humein taufeeq ata farmaye 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post