Hum chahte hain ke...

Humare paas kitabo ke talluq se is qadr farmaishein aa rahi hain ke hum khud hairan hain
Khaas logon mein ek tabqa hai jo buzurgo ki ilmi aur tehqeeqi kitabo ko shaya karne ka mutalba kar raha hai, phir naujawan tabqa Roman Urdu mein kitabo ke liye goya junoon sawaar hai, hum kisi kitab ke baare mein bata dete hain ke do mahine baad aayegi lekin phir bhi hafte dus din mein aa kar log jaaiza lete rehte hain, ek taraf digital formats yaani PDF aur isse zyada EPUB ki demand hain to dusri tarah hard copies ki aur phir AudioBook ke liye bhi mutalbaat ki kasrat hai

Itna sab rozana dekhne ke baad dil karta hai ke kaash humare paas itna maal hota to hum dhoom macha dete, Hum chahte hain ke ek zameen le kar wahan research centre khada kar dein jo kitabo ki dunya mein tehalka macha de, wahan kaam karne ke liye naujawano ko jama kiya jaaye, salary de kar kaam karwaya jaaye, madraso se farigh hone waale talaba ko kaam pe lagaya jaaye, Har kitab ko jadeed tarz par shaya kiya jaaye, mukhtalif zubano par kaam kiya jaaye aur har taraf Ahle Sunnat ka literature aam ho lekin iske liye bahut badi raqam ki zaroorat hai aur ye haqeeqat hai ke humari qaum ka aksar paisa fuzool kaamo mein ja raha hai ya kam se kam un kaamo mein lag raha hai jo tarjeehaat mein shamil nahin 

Humare saath aise logon ki ek badi tadaad judi hai jo khud rozgaar ki talash mein hain aur jawani ki dehleez pe qadam rakhe ek arsa ho gaya par nikah tak nahin kar sakte, aise log humara saath dena to chahte hain lekin chah kar nahin de paate, ab agar maldaaro ki baat karein to unka zehan badalne mein hi humein kaafi mehnat karne ki zaroorat hai, wo ek alag hi qism ki zehniyat rakhte hain jiske hote hue kitabo ke naam par ek rupay lena ek hazaar lene ke barabar hai

Allah ta'ala humein taufiq de ke hum apne irado ko poora kar sakein

Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadri
Nov 10, 2023

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post