Kya ab kitabo ka daur nahin?
Jo ye kehte hain ke ab kitabo ka daur nahin raha unse hum kehna chahenge ke har daur kitabo ka daur hai bas zaroorat iski hai ke hum logon ko targheeb dilayein yaani unhein musalsal iski ahmiyat batate rahein aur zamane ke taqazo ke mutabiq kitabein shaya karte rahein
Awaam ki baat karein to wo ek saade kaghaz ki tarah hai, us par kuchh bhi likha ja sakta hai, Humare Peer hazraat, Ulama wa Muftiyaane kiraam waghaira agar awaam ko kitabo ki targheeb dilayein to kisi ko ye kehne ke liye sochna padega ke ye daur kitabo ka nahin
Is baat par afsos humein bhi hai ke awaam se le kar khaas logon ne bhi kitabo se achhi doori bana rakhi hai jabki humare akabireen ne isi par zyada tawajjo di hai aur yahi wajah hai ke unki taleemaat aaj hum tak pahunchi hain, humein bhi zaroorat hai ke apna waqt, maal aur mehnat zyada se zyada kitabo par hi lagayein
jab hum aisa karenge to sab padhenge
aur jab padhenge to beshak aage badhenge
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadri
Nov 8, 2023
Assalamualaikum hazrat,
ReplyDeleteHazrat apka kaam bht acha chal rha hai I am very much impressed,lekin ek guzarish hai ki koi ek kitab par kijie jisme aqaid se lekar fazail or fiqh se lekar bad mazhabo ke raad sab kuch ya lagbhag bht kuch ek hi kitab me dastyab hojae badmazhabo in sab par bht acha kaam kar rakha hum ko ispar kaam karne ki zaroorat hai ki all in one book hojae jha tafseel ki zaroorat ho wha tafseel se samjhaya jae jha mukhtasar zaroorat wha is par ikhtifa Kia jae
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here