Qiyamat ke mutalliq hadeesein aur ghalat tashreehat
Ghaib janne waale, humare pyare Nabi ﷺ ne qiyamat ke talluq se jo khabrein di hain un ka sahih ma'na samajhna bahut zaroori hai, Ye tareeqa durust nahin hai ke hum kisi bhi hadees ko utha kar kisi bhi waqiye ke sath jod dein,
Aaj kal baaz logon ka ye tareeqa hai ke kisi bhi riwayat ko le kar kisi hadise par pesh kar dete hain aur kehte hain ke is riwayat mein is hadise ka zikr maujood hai, halanki agar us ki sharah dekhi jaye jo mu'tabar shareheen ne bayan ki hain to woh bilkul alag nazar aati hai
Hadees ke zahiri alfaz ko hi bunyad bana kar kalaam karna sahih nahi hai, Zahiri alfaz ko dekh kar aisa lagta hai ke yeh fulaan waqiye ya hadise ke bayaan par hai, lekin haqeeqat mein door door tak dono ka aapas mein koi talluq nahi hota, Misal ke taur par bahut si ahadees aisi hain jin mein qurbe qiyamat pesh aane waale waqiyaat aur alamaat ka zikr hai lekin un ka ek waqt hai aur wo waqt abhi nahi aaya hai, Jab hum kayi ahadees aur un ki shuroohaat par nazar karenge to maloom hoga ke wo zamana abhi bahut door hai lekin baaz log is tareeqe se bayan karte hain goya aaj kal jo kuchh ho raha hai wahi ahadees ke asal misdaaq hain
Qiyamat ki alamatein jin hadeeso mein bhi aai hain un ki sharah bayaan karne mein ehtiyaat zaroori hai aur kisi ek waqie ya hadise par use chaspa'n kar dena bardi ghalati hai, Kuchh ghair muhtaat logon ke aise aise bayanat aa rahe hain jinhein sun kar lagta hai ke isi mahine Imam Mahdi zahir ho jayenge...!
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadiri
2 November, 2023
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here