Matrimonial service ki zaroorat

Ahle Sunnat mein ek matrimonial service ki bahut zyada zaroorat thi, Aisa nahin hai ke pehle se services maujood nahin hain lekin 99% services aisi hain jo ya to ise peshe ke taur par chalati hai yaani unka pehla maqsad paise kamana hai ya phir agar wo paise nahin bhi lete to isse bhi bura kaam karte hain yaani har maslak ke manne waalo ko jama karte hain aur bina kisi tameez ke kaam karte hain, Humne khud dekha ke badmazhabo ko bhi shamil karte hain aur is wajah se sulhekulliyat ko farogh mil raha hai lihaza ek aisi service ki zaroorat thi jo zimmedar logon ke under kaam kare aur haq aur batil ke farq ko samajhte hue sirf ahle sunnat ke liye kaam kare

Humare kuchh logon ne is par kaam karne ki koshish ki lekin ye aasan kaam nahin tha, Humne dekha ke baaz tanzeemo ne ye keh kar haath utha diya ke ye bada zimmedari waala kaam hai aur baaz tanzeemo ne shuru bhi kiya to use kuchh dino mein band bhi kar diya

Agar kuchh log kaam kar rahe hain to wo faqat apne ilaqe mein ya apni biradri tak hi mahdood hain,
Kuchh log sirf WhatsApp Telegram par hi kaam kar rahe hain jabki ek tabqa aisa hai jo padha likha hai aur unhein privacy policy ke saath website chahiye aur unhein lagna chahiye ke unka data secure hai, aise mein Abde Mustafa Organisation ne is kaam ka zimma liya aur poore mulk mein E Nikah Service ko launch kiya aur musalsal is par kaam jaari rakha jis ka natija aaj samne hai, Allah ki taufeeq se aaj tak taqreeban 150 shadiya E Nikah Service ke zariye ho chuki hain

Hum un logon ka jitna shukr karein kam hai ke jinhone is kaam mein humara saath diya, khaas kar E Nikah ki IT Team ke jinke bina itne advance level par kaam kar paana namumkin tha
Allah ta'ala sab ko jaza -e- khair se nawaze

Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadri
Founder । E Nikah Service
November 5, 2023

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post