Tijarat aur Teen baatein

Tijarat ke talluq se teen baatein hum apni qaum se arz karna chahte hain jin par ghaur karna kaafi mufeed saabit ho sakta hai

Pehli baat:
Aaj humare gharo mein taqreeban laakh rupay tak ke smartphones maujood hain aur iske ilawa aaram haasil karne ke liye dusri kai cheezein hain jo laakho rupay ki hain lekin isse aadhe paise bhi aksar log tijarat mein lagane ka zehan nahin rakhte 

Dusri baat:
Naukri karne waala bahut jald ukta jaata hai aur thak jaata hai, wo ye sochta hai ke kab chhutti mile lekin tijarat karne waala iske bar ak


s bahut zyada kaam karne ke baad bhi nahin uktata aur lagan ke saath din raat kaam karta hai

Teesri baat:
Naukri mein bas tay shuda raqam milti hai jabki tijarat mein bahut zyada ka imkaan hota hai, Humare dehaat mein ek kahawat hai ke "napal sirwa aur ginal boti" yaani shorbe ko naap kar aur gosht ke tukdo ko gin kar dena to naukri ki misaal aisi hi hai

Muslim naujawano ko zaroorat hai ke apne ilaqe aur zaroorat ke mutabiq tijarat shuru karein, Bahut se "bade" tajiro ne "chhote" se hi shuru kiya tha, aap bhi shuru karein

Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadri
Nov 7, 2023

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post