Badmazhabo ki baatein

Badmazhabo ki baatein jab aap padhenge ya sunenge to takleef ka pahunchna laazmi si baat hai, Aaj humare ek azeez, Allama Qasimul Qadiri Azhari saheb ne paigham bheja ke unhein badmazhabo ki baato ne takleef pahunchai to is par kuchh likhne ka irada ho gaya

Badmazhabo ki aadat hai ke wo awaam ke saamne Ahle Sunnat Wa Jama'at ko badzuban keh kar unhein apne jaal mein phansate hain aur khoob achhe akhlaq dikhate hain lekin unki asal hum jaante hain aur har wo shakhs jaanta hai jis ne inko qareeb se dekha hai, ye log bina soche samjhe ke kis ke baare mein kalaam kar rahe hain, kuchh bhi bak dete hain, inke yahan kisi ka lihaaz nahin aur is haqeeqat ko humne kai baar dekha hai

Ek waqt tha ke badmazhabo se kaafi bahasein hoti thi, Ek baar ek badmazhab ne ilme ghaib ke mauzu par bahas karte hue ye tak keh diya ke "jab ilme ghaib tha to jung mein nabi apne daant tudwane kyun gaye the?" (Maaz Allah) ye sun kar badi takleef hui aur yaad kar ke aaj tak hoti hai 

Abhi kitab Jaa Al Haq ka khatima padh raha tha to Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi rahimahullahu ta'ala likhte hain ke "ab hum kitab ke aakhir mein chand aise masail bayaan karte hain ke jinse ahle sunnat ahnaaf ka dil baagh baagh hoga kyunki wahabi ghair muqallideen ki khushk guftagu sunte sunte dil ghabra gaya" 

Waqai mein jab hum inki baatein sunte, inke aqaid aur inki Qurano sunnat ki manmani tashreehaat ko padhte hain to dil ghabra sa jaata hai, Awaame Ahle Sunnat ko chahiye ke badmazhabo se bilkul door rahein aur zaroorat se zyada inse bahas karne se parhez karein

Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadri
December 10, 2023 CE

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post