Huzoor -e- Akram ﷺ Ki Aamad Par Siwaye Kuchh Badnaseebo Ke Sabhi Khush Hain Aur Khushiya Mana Rahe Hain
Nisaar Teri Chahal Pahal Par Hazaar Eidein Rabiul Awwal
Siwaye Iblees Ke Jahan Mein Sabhi To Khushiya Mana Rahe Hain
Koi Aamina Ke Laal ﷺ Ki Muhabbat Mein Unko Yaad Kar Ke Khush Ho Raha Hai To Kisi Ke Liye Ye Yaadein Takleef Ka Sabab Bani Huyi Hain
Ye Bhi Mere Aaqa ﷺ Ka Jalwa Hai Ke Aap ﷺ Ki Phool Si Khubsoorat Yaadein Ghaddaro Ke Dil Mein Kaanta Ban Kar Chubh Rahi Hai
Aala Hazrat Kya Khoob Farmate Hain,
Koi Jaan Bas Ke Mahak Rahi Kisi Dil Mein Isse Khatak Rahi
Nahin Iske Jalwe Mein Yak Rahi Kahin Phool Hai Kahin Khaar Hai
Mere Imam Farmate Hain Ke Kisi Ne Huzoor -e- Akram ﷺ Ki Muhabbat Ko Apni Jaan Mein Basaya Hua Hai Aur Aapki Yaadein Wafadaro Ke Dilo Mein Jaan Ban Kar Mahak Rahi Hai Aur Kuchh Wo Badbakht Hain Ke Jinko Isse Takleef Ho Rahi Hai Yaani Aapke Jalwe Ek Kaam Nahin Karte Balki Do Kaam Karte Hain, Wafadaro Ko Aapki Yaado Se Sukoon Haasil Hota Hai Aur Ghaddaro Ko Iza Pahunchti Hai
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here