Sahaba Aur Huzoor Ke Nalain

Sahaba -e- Kiraam Radiallaho Ta'ala Anhum Ne Huzoor Ki Muhabbat Mein Jo Kaarname Anjaam Diye Hain Unko Ayina Bana Kar Dekha Jaaye To Hum Bhi Apne Kirdaar Ko Aasani Se Sanwar Sakte Hain
Sahaba -e- Kiraam Ki Zindagiyo Ka Mutala Kiya Jaaye To Maloom Hota Hai Ke Unhein Apne Nabi Se Nisbat Rakhne Waali Har Shay Se Muhabbat Thi

Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Radiallaho Ta'ala Anho Nabiye Kareem ﷺ Ke Nalain Ko Apne Paas Rakha Karte The
Jab Nabiye Kareem ﷺ Majlis Barkhast Farmate To Aap Huzoor ﷺ Ko Nalain Pehnaya Karte The Aur Jab Utaarte To Aap Nalain Ko Jhaad Kar Apni Aasteen Mein Rakh Liya Karte The Aur Ta Qiyaam -e- Saani Apne Paas Hi Rakhte

(ملخصاً: جواہر البحار فی فضائل النبی المختار، ج1، ص41، 42، ط ضیاء القرآن پبلی کیشنز لاہور، س2013)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post