Dr. Iqbal

Badarul Ulama, Hazrat Allama Maulana Badruddin Ahmad Siddiqui Alaihi Rahma, Dr. Iqbal Ke Baare Mein Likhte Hain :
Razvi Darul Ifta, Bareli Shareef Mein Ek Istefta Pesh Kiya Gaya Jis Mein Dr. Iqbal Ke Kuchh (Kufriya) Ash'aar Ke Mutalliq Sawal Kiya Gaya Tha To Maulana Mufti Muhammad Aazam Ne (Fatwe Mein) Un Ash'aar Ko Kufriya Qaraar Diya Aur Qaayil (Yaani Dr. Iqbal) Ke Baare Mein Tehreer Kiya Ke Maine Huzoor Muftiye Aazam -e- Hind, Allama Mustafa Raza Khan Alaihi Rahma Se Dr. Iqbal Ke Baare Mein Daryaft Kiya To Aap Ne Farmaya :
Beshak Iqbal Se Khilaf -e- Shara Umoor Ka Sudoor Hua Hai, Kufriyaat Tak Us Se Saadir Huye Hain Magar Wo Allah Ta'ala Ke Mahboob, Sarkar -e- Do Aalam ﷺ Ki Shaan Mein Gustakh Wa Be Adab Nahin Tha
Beshak Jahalat Ki Bina Par Us Se Kufr Tak Pahunchane Waali Ghalatiya Huyi Hain Magar Aakhir Waqt Mein Marne Se Pehle Us Ki Tauba Bhi Mash'hoor Hai Aur Jo Allah Ke Mahboob Ki Shaan Mein Gustakh Nahin Hota Us Ko Tauba Ki Toufique Hoti Hai
Us Ke Baad Huzoor Muftiye Aazam -e- Hind Ne Iqbal Ka Ye Sher Padha :

بمصطفی برساں خویش را کہ دیں ہمہ اوست
گر با و نر سیدی تمام بو لہبی است

Ye Sher Padh Kar Hazrat Ki Aankho Mein Aansu Bhar Gaye Aur Farmane Lage Ke Is Sher Se Huzoor ﷺ Ke Saath Iqbal Ki Sachhi Muhabbat Zaahir Hai, Uske Baad Farmaya Ke Iqbal Ke Baare Mein Tawaqquf Chahiye Aur Hazrat Ka Ye Farman Nasaaziye Taba Se 15-16 Saal Pehle Ka Hai Aur Hazrat Ke Is Farman Par Humara Amal Hai

(فتاوی بدر العلماء، ص126، 229، ملخصاً)

Khalifa -e- Huzoor Muftiye Aazam -e- Hind, Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rahma, Dr. Iqbal Ke Ek Sher Ki Taweel Karte Huye Likhte Hain Ke Humein Hukm Hai Ke Momin Ke Kalaam Ko Achhe Maano Par Mahmool Karna Wajib Hai

(فتاوی شارح بخاری، ج2، ص486، ملتقطاً)

Aap Rahimahullahu Ta'ala Ek Aur Maqaam Par Likhte Hain Ke Iqbal Ki Tauba Mash'hoor Hai, Bahut Se Mustanad Aalimo Ne Us Ki (Tauba Ki) Riwayat Bhi Ki Hai Is Liye Is Baare Mein Sukoot Kiya Jaata Hai

(فتاوی شارح بخاری، ج3، ص491، ملتقطاً)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post