Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat
(Part 1)

Hazrat Allama Mufti Muhammad Waqaruddin Qadri Razvi Alaihi Rahma Ki Bargaah Mein Sawal Kiya Gaya Ke Ek Shakhs Ne Khwab Dekha Jis Mein Nabiye Kareem ﷺ Ne Usse Farmaya Ke Tum Agar Pakistan Mein Mere Mezbaan Ban Jaao To Main Pakistan Mein Kuchh Dino Ke Liye Ruk Sakta Hoon, Us Shakhs Ne Ek Risale Mein Yahi Khwab Bayaan Karte Huye Kaha Ke Huzoor ﷺ Ne Pakistan Mein Mujhe Apna Mustaqil Mezbaan Muqarrar Kar Diya Hai 
Is Jumle Par Kuchh Log Aitraz Karte Hain Aur Ise Shaan -e- Risalat Mein Tauheen Batate Hain Lihaza Aapse Darkhwast Hai Ke Shariat Ki Raushni Mein Fatwa Sadir Farmayein Ke Kya Shakhs -e- Mazkoor Kisi Sharayi Jurm Ka Murtakib Hua Hai Ya Nahin?

Waqar -e- Millat Alaihi Rahma Jawab Mein Likhte Hain Ke Tahirul Qadri Ka Ye Khwab Nawaye Waqt Lahore, Takbeer Aur Deegar Mukhtalif Rasail Mein Chhapa Hai
Haqeeqat Ye Hai Ke Khwab Insan Ke Ikhteyar Mein Nahin Aur Insan Khwab Mein Ajeebo Ghareeb Umoor Bhi Dekhta Hai Magar Apni Fazeelat Ke Liye Kisi Khwab Ko Chhapna Ya Bayaan Karna, Ye Insan Ka Ikhteyari Fe'al Hai Lihaza Tahirul Qadri Ka Khwab Bayaan Karte Huye Ye Kehna Ke Huzoor ﷺ Ne Pakistan Mein Mujhe Apna Mustaqil Mezbaan Muqarrar Kar Diya Hai Aur Wapsi Ke Ticket Ka Bhi Mutalba Kiya Hai Aur Bahut Si Baatein Bayaan Ki Jin Mein Huzoor ﷺ Ke Muhtaaj Hone Aur Tahirul Qadri Se Madad Talab Karne Aur Ek Ummati Ke Muqable Mein Nabi Ki Muhtaaji Ka Izhaar Hota Hai Lihaza Ye Tauheen -e- Nabi ﷺ Hai Aur Tauheen Karne Waalo Ki Jo Saza Hai Tahirul Us Saza Ka Mustahiq Hai

(ملخصاً: وقار الفتاوی، ج1، ص324، 325)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post