Dr. Tahir Sahab Ke Mutalliq Bahuto Ne Bahut Kuchh Likha, Kisi Ne Radd Mein Likha To Kisi Ne Difa Aur Himayat Mein Likha
Agar Hum Insaaf Ki Nazro Se Dekhein To Maloom Hoga Ke Jinhone Himayat Mein Likha Hai Un Ki Nazro Par Dr. Sahab Ke Kaam Ne Parda Daal Rakha Hai Warna Ulama -e- Ahle Sunnat Dr. Sahab Ke Mutalliq Muttafiqa Taur Par Apna Nazariya Pesh Farma Diya Hai Jo Mizaaj -e- Shariat Ke Ayen Mutabiq Hai
Ab Tak Dr. Sahab Ke Baare Mein Jo Fatawa, Aqwaal Aur Nazariyaat Ulama -e- Ahle Sunnat Ki Jaanib Se Manzar -e- Aam Par Aaye Hain Wo Logon Ki Rah Numayi Ke Liye Shaafi Wa Kaafi Hai, Main Faqat Itna Arz Karna Chahunga Ke:
Dastaar Ke Har Pech Ki Tehqeeq Hai Laazim
Har Saahib -e- Dastaar Muazzaz Nahin Hota
Shayar Ki Muraad Tak Bhale Hi Mujh Kam Faham Ki Rasayi Na Ho Sake Lekin Main Is Sher Ke Zariye Ye Kehna Chahta Hoon Ke Dr. Sahab Ho Ya Aalam -e- Rooya Mein Ayimma Wa Muhaddiseen Se Dastaar Haasil Karne Waala Koi Soofi, Unke Dastaar Ke Har Pech Ki Tehqeeq Karna Laazim Hai Kyunki Kabhi Kabhi Jo Dikhta Hai Wo Hota Nahin Aur Jo Hota Hai Wo Dikhayi Nahin Deta
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here