Haalat -e- Namaz Mein Tazeem -e- Nabi

Hazrate Ibne Abbas Radiallaho Ta'ala Anho Bayaan Karte Hain Ke Main Raat Ke Aakhiri Hisse Mein Rasoolullah ﷺ Ke Paas Aaya Aur Aap Ke Pichhe Khade Ho Kar Namaz Padhne Laga, Huzoor ﷺ Ne Mera Haath Pakad Kar Mujhe (Baayi Taraf Se Daayi Taraf) Apne Aage Kiya, Phir Jab Aap Namaz Padhne Lage To Main Pichhe Aa Gaya
Phir Aap ﷺ Ne Namaz Se Farigh Hone Ke Baad Mujhse Farmaya :
Is Ka Kya Sabab Hai Ke Main Tumhein Aage Karta Tha To Tum Mere Pichhe Ho Jaate The? 

Maine Kaha : Ya Rasoolallah ﷺ, Kya Kisi Shakhs Ke Liye Ye Jaayez Hai Ke Wo Namaz Mein Aap Se Aage Ho Jaaye Halanki Aap Allah Ke Rasool Hain Aur Allah Ta'ala Ne Aap Ko Itna (Buland Tareen) Martaba Ata Kiya Hai! 
Mere Is Jawab Se Rasoolullah ﷺ Khush Huye Aur Mere Liye Ye Dua Ki Ke Allah Mere Ilmo Faham Ko Zyada Farmaye

(مسند امام احمد بن حنبل، ج5، ص178، ر3060)

Is Riwayat Ko Imam Ibne Hajar Asqalani Alaihi Rahma Ne Bhi Naqal Kiya Hai

(فتح الباری، ج1، ص625) 

Shaykh Shuaib Al Arnawt Kehte Hain Ke Is Hadees Ki Sanad Sahih Hai Aur Imam Bukhari Wa Imam Muslim Ki Shart Ke Mutabiq Hai

(حاشیہ مسند احمد بن حنبل، ج5، ص178) 

Shaykhul Hadees, Hazrat Allama Ghulam Rasool Sayeedi Alaihi Rahma Ne Bukhari Shareef Ki Sharah Mein Is Riwayat Ko Naqal Kiya Hai

(نعم الباری فی شرح صحیح البخاری، ج1، ص340)

Subhan Allah! Sahabi -e- Rasool Haalat -e- Namaz Mein Bhi Nabiye Akram ﷺ Ki Tazeem Kar Rahe Hain 

Aap Ka Talluq Kisi Bhi Maktaba -e- Fikr Se Ho, Aap Ek Baar Apne Dil Par Haath Rakh Kar Sochein Ke Aaj Ye Kaun Se Deen Ki Dawat Di Ja Rahi Hai Ke Namaz Mein Huzoor ﷺ Ka Khayal Laana Durust Nahin Hai Aur Apne Bail Aur Gadhe Ke Khayal Mein Mustaghrak Hone Se Zyada Bura Hai Kyunki Huzoor ﷺ Ka Khayal To Tazeem Aur Buzurgi Ke Saath Aata Hai Aur Bail Aur Gadhe Ka Khayal Tazeem Aur Buzurgi Ke Saath Nahin Aata!Aur Ghair Ki Ye Tazeem Jo Namaz Mein Malhooz Ho Wo Shirk Ki Taraf Kheench Kar Le Jaati Hai

(صراط مستقیم، اردو، ص150-
صراط مستقیم، فارسی، ص86، ملخصاً)

Ye Ibarat Wahabiyo Ke Peshwa Ismayeel Dehelvi Ki Hai Aur Aaj Bhi Ye Kitabein Chhap Rahi Hain
Agar Namaz Mein Huzoor ﷺ Ka Khayal Shirk Ki Taraf Le Jaata Hai To Kya Sahabi -e- Rasool Ka Namaz Mein Huzoor Ki Tazeem Karna Bhi Raahe Shirk Par Qadam Rakhna Hai? 

Abhi Bhi Waqt Hai, Aisi Ibarato Aur Aise Aqeede Ko Deewar Par De Maarein
Jo Aise Khayalaat Rakhta Ho Aur In Nazariyaat Ka Haami Ho Us Se Moonh Mod Lein Taaki Kal Ba Roz -e- Mehshar Huzoor ﷺ Ke Qadmo Mein Jagah Paa Sakein

Bahut Saada Sa Hai Usool -e- Dosti Kausar Apna
Jo Un Se Be Talluq Ho Humara Ho Nahin Sakta 

Aur, 

Shauq Tera Agar Na Ho Meri Namaz Ka Imam
Mera Qiyaam Bhi Hijaab Mera Sujood Bhi Hijaab

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post