Ek Buzurg Ke Paas Ek Aurat Apne Bachhe Ko Le Kar Aayi Aur Kehne Lagi : Is Bachhe Ko Gud Khaane Se Mana Farma Dein
Buzurg Ne Kaha Ke Wo Us Bachhe Ko Dusre Din Le Kar Aaye
Jab Wo Aurat Dusre Din Bachhe Ko Le Kar Aayi To Buzurg Ne Bachhe Se Farmaya : Beta, Gud Mat Khaya Karo......,
Bachhe Ki Maa Boli : Hazrat! Ye Naseehat To Aap Kal Bhi Kar Sakte The (Phir Dusre Din Kyun Bulaya?)
Buzurg Farmane Lage : Kal Aisa Karna Namumkin Tha Kyunki Kal Maine Khud Gud Khaya Hua Tha!
(انظر: آدابِ استاد و شاگرد، ص33)
Dusro Ko Naseehat Ke Phool Baantne Se Pehle Humein Khud Ko Dekhna Chahiye Ke Hum Ne Kitni Baato Par Amal Kiya Hai
Agar Hum Amal Ke Baad Dusro Ko Nekiyo Ki Dawat Denge To Humari Dawat Qabool Hoti Huyi Nazar Aayegi
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here