Nikah Ho To Aisa

Hazrate Salman Farsi Radiallaho Ta'ala Anho Ka Nikah Hai....., 
Baraat Mein Aap Ke Dost Ahbaab Bhi Dulhan Ke Ghar Chale....., 
Ghar Pahunche To Aap Radiallaho Ta'ala Anho Ne In Se Farmaya :
"Allah Ta'ala Aap Logon Ko Jaza -e- Khair Ata Farmaye, Ab Aap Log Laut Jaayein" 
Aur Ghar Ke Andar Na Jaane Diya Jis Tarah Ke Bewkoof Log Apne Dosto Ko Zauja Ke Ghar Dakhil Kar Lete Hain 

Jab Aap Radiallaho Ta'ala Anho Ne Ghar Khoob Saja Dhaja Dekha To Farmane Lage Ke Tumhare Ghar Ko Bukhar Aa Gaya Hai Ya Kaaba Shareef Yahan Muntaqil Ho Gaya Hai? 

Ahle Khana Ne Kaha Ke Aisa Nahin Hai, 
Phir Aap Radiallaho Ta'ala Anho Ne Darwaze Par Latke Parde Ke Siwa Saare Parde Utarwa Diye Phir Andar Dakhil Huye Aur Wahan Bahut Saara Samaan Dekha To Puchha Ke Itna Samaan Kis Liye Hai? 
Ghar Mein Maujood Logon Ne Kaha Ke Ye Aap Ke Aur Aap Ki Zauja Ke Liye Hai
Aap Ne Farmaya : Mujhe Mere Khaleel Muhammad ﷺ Ne Zyada Maalo Daulat Jama Karne Ki Nahin Balki Is Baat Ki Naseehat Farmayi Thi Ke Tumhare Paas Dunyawi Maal Sirf Itna Ho Jitna Musafir Ka Zaade Raah Hota Hai

Phir Aap Ne Wahan Ek Khadim Ko Dekha To Puchha Ke Ye Kis Ke Liye Hai? 
Ghar Waalo Ne Kaha Ke Ye Aap Ki Aur Aap Ki Ahliya Ki Khidmat Ke Liye Hai 

Aap Ne Farmaya : Mujhe Mere Khaleel ﷺ Ne Khadim Rakhne Ki Naseehat Nahin Farmayi Balki Sirf Use Rokna Ka Farmaya Jis Se Main Nikah Karoon Aur Farmaya Ke Agar Tum Ne (Apne Susraal Waalo Se) Mazeed Kuchh Liya To Tumhari Auratein Tumhari Nafarman Ho Jayengi Aur Is Ka Gunaah Khawind (Husband) Par Hoga Aur Aurato Ke Gunah Mein Bhi Koi Kami Nahin Hogi! 

Phir Aap Radiallaho Ta'ala Anho Ne Wahan Maujood Aurato Se Farmaya Ke Tum Sab Yahan Se Jaaogi Ya Yun Hi Mere Aur Meri Biwi Ke Darmiyan Aad Bani Rahogi? Wo Boli Ke Hum Chali Jayengi

Jab Aap Apni Biwi Ke Paas Gaye To Farmaya : Jo Main Kahunga Manogi? 
Biwi Boli : Ji Haan! Main Aap Ki Ita'at Karungi 
Phir Aap Ne Farmaya : Mujhe Mere Khaleel ﷺ Ne Naseehat Farmayi Hai Ke Jab Apni Biwi Ke Paas Jaao To Us Ke Saath Mil Kar Allah Ta'ala Ki Ibadat Karo,
Phir Dono Miya Biwi Uthe Aur Jab Tak Ho Saka Allah Ta'ala Ki Ibadat Mein Masroof Rahe, Us Ke Baad Haque -e- Zaujiyat Ada Kiya

(ملخصاً و ملتقطاً: حلیة الاولیاء و طبقات الاصفیاء، اردو ترجمہ بہ نام اللہ والوں کی باتیں، ج1، ص348، 349، ط مکتبة المدینة کراچی، س1434ھ) 

Kaash Ke Hum Bhi Apne Nikah Mein Dunya Ki Rangeeniyo Ko Chhod Kar Sunnat -e- Mustafa Ki Saadgi Ko Apnayein
Allah Ta'ala Humein Is Ki Toufique Ata Farmaye 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post