Ramazan Ka Aakhiri Jumuah Aur Qaza Namaz

Kuchh Log Is Ghalat Fahmi Mein Mubtala Hain Ke Ramazan Ke Aakhiri Jume Ko Chand Rakatein Padhne Se Poori Umr Ki Qaza Namazein Muaaf Ho Jaati Hain
Baaz Jagaho Par To Is Ka Khaas Ihtemam Kiya Jaata Hai Maano Koi Bumper Offer Aaya Ho

Ek Martaba Maine Apne Muhalle Ki Masjid Mein Dekha Ke Ek Ishtehar Laga Hua Hai Jis Mein Poori Umr Ki Qaza Namazo Ko Chutki Mein Muaaf Karwane Ka Tariqa Likha Hua Tha Aur Tayeed Mein Chand Be Asal Riwayaat Bhi Likhi Huyi Thi......, 
Maine Fauran Us Ishtehar Ko Wahan Se Hata Diya Aur Us Ko Lagane Waale Ke Mutalliq Daryaft Kiya Lekin Kuchh Maloom Na Ho Saka

Aisa Offer Dekhne Ke Baad Wo Log Jin Ki Bees Tees Saal Ki Namazein Qaza Hain, Apne Jazbaat Par Qaabu Nahin Kar Paate Aur Asal Jaane Bighair Is Par Yaqeen Kar Lete Hain
Is Tarah Ki Baatein Bilkul Ghalat Hain Aur In Ki Koi Asal Nahin Hai, Ulama -e- Ahle Sunnat Ne Is Ka Radd Kiya Hai Aur Ise Najayez Qaraar Diya Hai 

Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta'ala Is Ke Mutalliq Likhte Hain Ke Ye Jahilo Ki Ijaad Aur Mahaz Najayez Wa Baatil Hai 

(انظر: فتاوی رضویہ، ج7، ص53، ط رضا فاؤنڈیشن لاہور)

Imam -e- Ahle Sunnat Ek Dusre Maqaam Par Likhte Hain Ke Aakhiri Jumuah Mein Is Ka Padhna Ikhtira Kiya Gaya Hai Aur Is Mein Ye Samjha Jaata Hai Ke Is Namaz Se Umr Bhar Ki Apni Aur Maa Baap Ki Bhi Qazayein Utar Jaati Hain Mahaz Baatil Wa Bidd'at -e- Shania Hai, Kisi Moatbar Kitab Mein Is Ka Aslan Nishan Nahin 

(ایضاً، ص418، 419)

Sadarushshariah, Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Shabe Qadr Ya Ramazan Ke Aakhiri Jume Ko Jo Ye Qaza -e- Umri Jama'at Se Padhte Hain Aur Ye Samajhte Hain Ke Umr Bhar Ki Qazayein Isi Ek Namaz Se Ada Ho Gayi, Ya Batil Mahaz Hai

(بہار شریعت، ج1، ح4، ص708، قضا نماز کا بیان) 

Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rahma Ne Bhi Is Ka Radd Kiya Hai Aur Is Ki Tayeed Mein Pesh Ki Jaane Waali Riwayaat Ko Allama Mulla Ali Qaari Hanafi Alaihi Rahma Ke Hawale Se Mauzu Qarar Diya Hai 

(فتاوی امجدیہ، ج1، ص272، 273)

Allama Qaazi Shamsuddin Ahmad Alaihi Rahma Likhte Hain Ke Baaz Log Shabe Qadr Ya Aakhir Ramzan Mein Jo Namaz Qaza -e- Umri Ke Naam Se Padhte Hain Aur Ye Samajhte Hain Ke Umr Bhar Ki Qazao Ke Liye Ye Kaafi Hai, Ye Bilkul Ghalat Aur Baatil Mahaz Hai

(قانون شریعت، ص241) 

Hazrat Allama Mufti Muhammad Waqaruddin Qadri Razvi Alaihi Rahma Likhte Hain Ke Baaz Ilaaqo Mein Jo Ye Mash'hoor Hai Ke Ramazan Ke Aakhiri Jume Ko Chand Rakaat Namaz Qaza -e- Umri Ki Niyyat Se Padhte Hain Aur Khayal Ye Kiya Jaata Hai Ke Ye Poori Umr Ki Qaza Namazo Ke Qaayim Maqaam Hai, Ye Ghalat Hai...., Jitni Bhi Namazein Qaza Huyi Hain Un Ko Alag Alag Padhna Zaroori Hai

(وقار الفتاوی، ج2، ص134) 

Hazrat Allama Ghulam Rasool Sayeedi Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Baaz Anpadh Logon Mein Mash'hoor Hai Ke Ramazan Ke Aakhiri Jumuah Ko Ek Din Ki Paanch Namazein Witr Samet Padh Li Jaayein To Saari Umr Ki Qaza Namazein Ada Ho Jaati Hain Aur Is Ko Qaza -e- Umri Kehte Hain, Ye Qata'an Baatil Hai
Ramazan Ki Khususiyat, Fazeelat Aur Ajro Sawab Ki Zyadati Ek Alag Baat Hai Lekin Ek Din Ki Qaza Namazein Padhne Se Ek Din Ki Hi Ada Hogi, Saari Umr Ki Ada Nahin Hogi 

(شرح صحیح مسلم، ج2، ص352)  

Saabit Hua Ke Aisi Koi Namaz Nahin Hai Jise Padhne Se Poori Umr Ki Qaza Namaz Ada Ho Jaaye 
Ye Jo Namaz Padhi Jaati Hai, Is Ki Koi Asal Nahin Hai, Ye Najayezo Baatil Hai

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post