Ratta Maar Muqarrir

Allama Ibne Jauzi Likhte Hain Ke Hamid Bin Abbas Ka Ek Dost Beemar Ho Gaya To Iyadat Ke Liye Usne Apne Bete Ko Bhejne Ka Irada Kiya, Bhejte Waqt Bete Ko Naseehat Ki :
Beta! Jab Wahan Dakhil Ho Jaao To Oonchi Jagah Par Baithna Aur Mareez Se Puchhna Ke Aapko Kya Takleef Hai?
Jab Wo Kahe Ke Fulaan Fulaan Takleef Hai To Jawab Mein Kehna Ke In'sha Allah Theek Ho Jaaoge, Phir Puchhna Ke Kaun Se Hakeem Se Ilaaj Karwate Ho? Jab Wo Kisi Hakeem Ka Naam Le To Kehna Ke Achha Hai, Mubarak Hai Phir Kehna Ke Ghiza (Khane) Mein Kya Istemal Karte Ho? Jab Wo Kisi Ghiza Ka Naam Bataye To Kehna Ke Achha Khana Hai, Behtar Ghiza Hai

Beta Apne Baap Ki Naseehat Ko Sun Kar Iyadat Ke Liye Wahan Pahuncha To Mareez Ke Saamne Ek Meenar Tha, Wo Naseehat Ke Mutabiq Us Par Baitha To Achanak Wahan Se Gir Pada Aur Mareez Ke Seene Par Ja Pada Aur Use Mazeed Takleef Mein Mubtala Kar Diya, Phir Mareez Se Puchha Ke Aap Ko Kya Takleef Hai? 
Mareez Ne Kaha Ke Marzul Maut Mein Hoon
Isne Kaha Ke In'sha Allah Jald Najaat Paaoge (Yaani Jaane Ka Waqt Qareeb Hai)
Phir Puchha Ke Kis Hakeem Se Dawayi Lete Ho? 
Mareez Ne Kaha Ke Malkul Maut
Isne Kaha Ke Mubarak Hai, Ba Barkat Hai
Phir Puchha Ke Kaun Si Ghiza Istemal Karte Ho? 
Mareez Ne Kaha Ke Maarne Waala Zahar! 
Isne Kaha Ke Bahut Mazedar Aur Achhi Ghiza Hai! 

(ملخصاً: اخبار الحمقی والمغفلین مترجم، ص278، 279، ط کرمانوالہ بک شاپ لاہور)

Fi Zamana Aksar Muqarrireen Ka Mamla Bhi Isse Kaafi Milta Julta Hai
Mazkoora Bete Ne Jis Tarah Apne Baap Ki Naseehat Ko Samajhne Ki Bajaye Ratt Liya Isi Tarah Humare Joshile Muqarrireen "Baarah Taqreerein" Aur "Pachchees Khutbaat" Waghaira Ratt Kar Maidan -e- Taqreer Mein Utar Jaate Hain Aur Phir Anjaam Ka Andaza Aap Mazkoora Baala Waqiye Se Laga Sakte Hain

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post