Jannat Mein Ek Darakht Hai Jis Ka Naam Tooba Hai
Is Darakht Ke Baare Mein Ek Riwayat Hai Ke Huzoor -e- Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Darakht -e- Tooba, Akhrot Ke Darakht Ka Mushabe Hai
Ek Shakhs Ne Puchha Ke Ya Rasoolallah! Us Ki Jad Kitni Badi Hai?
Aap Ne Irshad Farmaya Ke Agar Tum Oont Par Sawar Ho To Wo Oont Chalte Chalte Boodha Ho Jaaye Aur Tum Us Ki Jad Ka Ihata Nahin Kar Sakoge
Hazrate Abu Imama Radiallaho Ta'ala Anho Ne Kaha Ke Tooba Jannat Ka Ek Darakht Hai Jis Ki Shaakhein (Branches) Jannat Ke Har Ghar Mein Hain Aur Us Darakht Par Khoob Surat Phal Hain Aur Har Haseen Parinda Us Darakht Par Baitha Hai
(عمدۃ القاری، ج5، ص216 بہ حوالہ نعم الباری فی شرح صحیح البخاری)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here