Aashique Ki Zakaat

Hazrate Abu Bakar Shibli Alaihi Rahma Se Kisi Ne Zakaat Ka Nisaab Puchha
Aap Ne Farmaya Ke Fiqh Ka Mas'ala Puchh Rahe Ho Ya Ishq Ki Baat Kar Rahe Ho? 

Us Bande Ne Kaha Ke Dono Tarah Se Irshad Farma Dein

Aap Ne Farmaya Ke Shariat Ki Zakaat Adhaai Fee Sad (2.5%) Hai Jab Ke Ishq Ki Zakaat Saare Ka Saara Maal Aur Us Ke Saath Saath Jaan Ka Nazrana Pesh Karne Se Ada Hoti Hai

Us Bande Ne Kaha Ke Ishq Ki Zakaat Ki Kya Daleel Hai? 
Aap Ne Farmaya Ke Is Ki Daleel Ye Hai Ke Sayyiduna Siddique -e- Akbar Radiallaho Ta'ala Anho Ne Apna Saara Maal Nabiye Kareem ﷺ Ki Khidmat Mein Pesh Kar Diya Aur Apni Beti Ayesha Radiallaho Ta'ala Anha Nazrane Ke Taur Par Pesh Kar Di

(مکتوبات یحییٰ منیری، ص34 بہ حوالہ ضرب حیدری، ص51) 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post