Aurato Ki Baatein

Maanein Ya Na Maanein Lekin Aurato Ki Baatein Bahut Khatarnak Hoti Hain! 
Jo Log Humesha Aurato Ki Kahi Par Chalte Hain Wo Tabahi Ki Dehleez Par Qadam Rakhte Hain
Is Ka Matlab Ye Nahin Hai Ke Har Aurat Ki Har Baat Ghalat Hoti Hai Lekin Aksar Baatein Aisi Hoti Hain Jin Par Amal Karne Se Do Logon, Gharo Balki Mulko Mein Bhi Jung Chhid Sakti Hai

Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Farmate Hain Ke Aurato Ki Raaye Ki Mukhalifat Karo (Yaani Wo Jo Kahein Us Ka Ulat Karo) Kyunki Un Ki Mukhalifat Mein Barkat Hai 

(کنز العمال، ج3، ص350، ر8769) 

Is Se Ye Saabit Karna Maqsood Nahin Hai Ke Tamam Aurato Ki Tamam Baatein Naqabil -e- Qabool Hain Balki Ye Batana Maqsood Hai Ke Aksar Baatein Durust Nahin Hoti
Is Ki Tayeed Ek Dusri Riwayat Se Bhi Hoti Hai Ke Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Aham Mamlaat Mein Apni Aurato Se Bhi Mashwara Liya Karte The, Basa Awqaat Aap Un Ki Baat Mein Koi Achhayi Dekhte Jo Aap Ko Achhi Lagti To Us Par Amal Karte

(ایضاً) 

Aurato Ki Baatein Sunein Lekin Soch Samajh Kar Amal Karein, Kayi Logon Ne Apni Biwi Ki Andha Dhund Pairwi Mein Apne Maa Baap Tak Ko Chhod Diya Aur Kaiyo Ki To Ye Haalat Ho Jaati Hai Ke Aakhir Mein Khudkushi Kar Baith'te Hain 
Agar Biwi Koi Achhi Baat Kehti Hai To Qabool Karein Warna Mukhalifat Se Bilkul Na Darein
Aurato Ko Bhi Chahiye Ke Soch Samajh Kar Aur Aage Pichhe Ka Soch Kar Mashwara Dein 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post